Aaj 10 Muharram-ul-Haram 1447 Hijri, Youm-e-Ashura puri duniya mein gham, aqeedat aur shiddat-e-mohabbat kay saath manaya jarha hai. Yeh woh din hai jo Islam ki tareekh ka sabse dardnaak aur sabse roshan safha hai, jahan Imam Hussain ibn-e-Ali (A.S.) ne deen-e-Islam ki hifazat kay liye apne Ahle-bait aur saathiyon kay saath Karbala kay maidan mein apni jaan ka nazrana pesh kiya.
Muharram-ul-Haram ka har din gham ka pegham laata hai, magar 10 Muharram, Youm-e-Ashura ka din aata hai, tou har dil Karbala ki yaadon se bhar jata hai. Jab Karbala kay pyasay maidan mein Haq ka parcham buland howa, tou sabr, qurbani aur wafadari ka eik misaali safar duniya kay samne aya. Ashura, 10 Muharram 61 Hijri ka woh din hai jab zulm kay samundar kay samne haq ka jhanda buland howa. Rasool Allah ﷺ kay nawasay Imam Hussain (A.S.) ne haq ki roshni ko bujhne nahi diya.
Is tareekhi moqay par Pakistan kay mashhoor Naat khuwan Fasihuddin Soharwardi kay Kalaam “Shuhada Kay Tajdaar, Humara Salaam Lo” aur “Main Tou Panjatan Ka Ghulam Hoon” logon kay dil aur rooh ko chhu jaatay hain. Kalaam “Shuhada Kay Tajdaar, Humara Salaam Lo” sirf lafzon ka izhaar nahi, balkay Imam Hussain (A.S.), Hazrat Abbas (A.S.), aur Karbala kay tamaam shuhada ko eik esi roohani salamti pesh karta hai jo har aashiq-e-Hussain kay dil se nikalti hai.
Fasihuddin Soharwardi ki doosri naat “Main Tou Panjatan Ka Ghulam Hoon” bhi is moqay par bepanah maqbool ho rahi hai. Yeh kalaam Panjatan Paak, woh paak hastiyaan jinhone Islam kay liye har qurbani di, se mohabbat ka izhar hai. Koyal App ne bhi Youm-e-Ashura kay moqay par apne digital platform par Noha, Marsiya aur Manqabat ka eik khaas collection stream kay liye pesh kiya hai. Hazrat Abbas (A.S.) ki wafadari, Hazrat Ali Asghar (A.S.) ki pyaas, aur Bibi Zainab (S.A.) ka sabr, sab kuch in kalamon mein baseerat aur jazbaat kay sath mehsoos kiya ja sakta hai.
Youm-e-Ashura humein sirf gham ka paighaam nahi deta balkay yeh dars deta hai haq per qaim rehne ka, zulm kay samne na jhukne ka, aur deen kay liye jaan dene ka. Karbala ki dastaan abhi khatam nahi hui, yeh har saal zinda hoti hai, har dil mein, har aansoo mein, aur har mukhtalif Naat Khuwan aur Noha khuwan kay kalaamon mein.
Har dil jo Hussain (A.S.) ka hai, har aasu jo Karbala kay gham mein gira hai, Koyal par uska tazkara hai. Aaj kay din aap bhi Koyal App download karen aur Ashura kay Nohay, Marsiye aur Manqabat sun kar Imam Hussain (A.S.) ki qurbaniyon ko yaad karein. Fasihuddin Soharwardi kay Kalaam sunnay kay liye diye gae links par click karein.
Main Tou Panjatan Ka Ghulam Hoon: https://koyal.pk/track/main-to-panjatan-ka-ghulam-ho-6766
Shuhada Kay Tajdaar, Humara Salaam Lo: https://koyal.pk/track/shohda-ke-tajdar-e-lo-hamara-salam-6899









