10 Muharram-ul-Haram ki raat, jise duniya Sham-e-Ghareeban (The Night of Homeless) kay naam se yaad karti hai, woh Karbala ki raat hai jo sirf andhera nahi, balkay zulm, tanhai, aur dard ka manzar hai. Hussain ibn-e-Ali (A.S.) ki shahadat kay baad, raat ki khaamoshi mein jaltay howe khayme, bebasi mein roti hui Bibi Zainab (A.S.) aur tanha bachon ki aahein goonj rahi thein.
Sham-e-Ghareeban, jab maidan-e-Karbala khoon se bhara, aur Hussain ibn-e-Ali (A.S.) shaheed hogae, tou raat ki tareekiyan unkay ghar walon par aur bhi bhaari hogaein. Khayme jala diye gaye. Ahl-e-Bait (A.S.) ki khawateen aur bachay be-panah thay. Bibi Zainab (A.S.) ka woh tanha safar jahan unki aankhon kay samne bhai, bhatije, aur As-ha’b shaheed ho chuke the, aaj bhi har musalman kay dil ko hila deta hai. Ye raat har Musalman kay dil par zakham deti hai, woh zakham jo waqt kay sath purana nahi hota. Sham-e-Ghareeban mein na roshni thi, na panah. Sirf zulm tha, jalan thi, aur Bibi Zainab (A.S.) ka woh sabr tha jo har Ahl-e-Bait se muhabbat krne wale kay liye misaal hai.
Iss rooh giriftah lamhay ko Nadeem Sarwar ne apne dard bhare Nohon mein kuch is tarah zinda kiya hai kay har dil se bas eik hi aah nikalti hai “Sham-e-Gareeban, Zainab Tanha…”. Yeh kalam sirf alfaaz nahi, woh khaali khayma hai jahan se Imam Hussain (A.S.) ka saaya uth chuka tha, aur jahan Bibi Zainab (A.S.) apne farzandon, bhaiyon, aur ashaab ki laashein dekh kar bhi sabr ki misaal bani rahein. Is Nohay ka har misra Bibi Zainab (A.S.) ki sabr ki misaal hai. Yeh woh awaaz hai jo aaj bhi Zindan-e-Shaam ki deewaron se takra rahi hai.
Isi shab ki yaad mein doosra Noha “Sham-e-Ghareeban Mein Haram” bhi dil ko cheer denay wali yad ko taaza krta hai, woh waqt jab Madina ka haram aur Bibi Zainab (A.S.) ka tanha safar eik dardnaak dastaan ban gaya. Madina ki woh galiyan jahan Bibi Zainab (A.S.) ne kabhi sukoon dekha tha Karbala kay baad jahan unki tanhai aur gham ka silsila shuru howa.
Koyal App par yeh dono Nohay moujood hain, jahan Nadeem Sarwar ki awaaz mein har dard, har saans aur har aansun mehsoos krne ki koshish ki ja sakti hai. Aaj ki raat, Sham-e-Ghareeban ka dard mehsoos krne ki koshish karein. Nadeem Sarwar kay kalam sun kar Bibi Zainab (A.S.) ki tanhai aur sabr ko yaad karein.
Koyal par ye Nohay sunne kay liye neeche diye gaye links par click karein:
Sham-e-Gareeban Zainab Tanha: koyal.pk/track/sham-e-gareban-zainab-tanha-7133
Sham-e-Ghareeban Mein Haram: koyal.pk/track/sham-e-ghareeban-mein-haram-63831









