Blogs Koyal.pk
Rabi-ul-Awwal Mubarak Rahmaton, Barkaton aur Ishq-e-Rasool ﷺ Ka Mahina

Rabi-ul-Awwal Mubarak – Rahmaton, Barkaton aur Ishq-e-Rasool ﷺ Ka Mahina

Pakistan aur duniya bhar kay Musalmanon kay liye Rabi-ul-Awwal ka chand dekhna eik roohani aur jazbati lamha hota hai. Chand nazar aate hi, saal ka teesra Islami mahina apni tamam barkaton aur fazeelaton kay sath shuru ho jata hai. Yeh woh mubarak mahina hai jis mein duniya ko un shakhsiyat ka tohfa mila jinkay aane se insaaniyat andheron se nikal kar roshni mein aayi. Yeh woh mahina hai jismein Rehmat-ul-lil-Alameen, Nabi Muhammad ka milad howa, aur jiska har din Musalmano kay liye yaadgaar hai.

Islami calendar ka teesra mahina Rabi-ul-Awwal ka aaghaz ho gaya hai. Rabi-ul-Awwal woh mahina hai jismei Nabi-e-Akram ﷺ dunya mein tashreef laye jiski wajah se Islami tareekh mein azeem rutba rakhta hai. Is mahine ki ibtida kay saath hi Masajid, Madaris aur gharon mein Durood-o-Salam ki sadaayein goonj uthti hain. Milad-un-Nabi ki tayyariyan shuru ho jati hain aur saray shehr roshniyon aur sabz parchamon se saja diye jate hain. 12 Rabi-ul-Awwal ko Aap ﷺ ka milad manaya jata hai. Musalmano kay liye yeh mahina sirf eik tareekh ya jashan ka din nahi, balkay zindagi bhar ka paigham hai jo muhabbat, barkat aur roohaniyat se bharpoor hai. Ye din humein yaad dilata hai kay Nabi ﷺ ki aamad sirf eik qoum kay liye nahi, balkay Rehmat-ul-lil-alameen kay taur par puri insaaniyat kay liye thi.

Yeh woh mahina hai jis mein sirf Nabi Kareem kay milad ka jashan hi nahi balkay aap ki seerat aur sunnat ko yaad karne ka mauqa bhi milta hai. Rabi-ul-Awwal hamein yeh paigham deta hai kay Nabi ki talimat, insaaniyat, insaaf, aman aur mohabbat ko apni zindagi ka hissa banaya jaye. Pakistan mein Rabi-ul-Awwal ka mahina eik josh-o-jazba kay sath manaya jata hai. Mulk bhar kay gali muhallay roshniyon se sajte hain, juloos nikale jate hain aur mehfil-e-milad ka ehtimam hota hai. Har ghr, Masajid aur idaroon mein Quran khuwani, Naat khuwani aur Durood-o-Salam ki mehfilein hoti hain jahan mashhoor Naat khuwan Ishq-e-Rasool ﷺ ka izhar karte hain jahan log ibadat aur duaon mein masroof hote hain. Is mahine ka asal paigham ye hai kay jashan manane kay saath apne amal aur zindagi ko sunnat-e-Nabawi ﷺ kay mutabiq banaya jaye.

Hazrat Muhammad ﷺ ki zindagi insaaniyat kay liye eik behtareen misaal hai. Aap ﷺ ne nafrat ka jawab muhabbat se diya, zulm ka jawab insaaf se diya, aur duniya ko aman aur insaaniyat ka paigham diya. Rabi-ul-Awwal humein yeh sabak deta hai kay hum apni zindagi ko Rasool-e-Pak ﷺ ki taleemat kay mutabiq dhalain. Yeh wo paigham hai jo aaj bhi utna hi relevant hai jitna 1400 saal pehle tha. Is mahine mein zyada se zyada Durood-o-Salam parhna aur Naat khuwani karna sirf roohani sukoon nahi deta, balkay Nabi ﷺ ki muhabbat ko aur mazboot karta hai.

Rabi-ul-Awwal ka chand Musalmano kay liye sirf eik naya mahina nahi, balkay Nabi Kareem ki yaadon, unki sunnat aur unkay paigham ko dobara zinda karne ka lamha hai. Koyal par eik exclusive Naat aur Durood collection moujood hai. Koyal App par aap Pakistan kay mashhoor Naat khuwan jese Junaid Jamshed, Owais Raza Qadri, Fasihuddin Soharwardy, aur kayi naamwar awaazon mein Naat sun sakte hain. Abhi 10,000+ Naats aur Durood ki playlist sunne kay liye Koyal App download karein aur diye gaye link par click karein.

https://koyal.pk/genre/audio/naat-5 

Wania Siddiqui

I’m Wania Siddiqui, a passionate journalist with over a year of experience in the fast-paced world of News channels. I love uncovering important facts, sharing diverse perspectives, and bringing cognitive details to the public. I’m passionate about telling real-life ignored stances and provoking incidents that educate the society and bring richer details to audiences.

mainzeus slot mpo slot gacor jawaraliga slot gacor malam ini happy838 slot maxwin mainzeus slot777 slot qris