Pakistan aur puri Muslim duniya mein naye saal ka aghaz hone jarha hai. 1 Muharram-ul-Haram 1447 Hijri ki roshni mein har Musalman eik naye roohani safar kay iraday aur emaan ki tajdeed ka jazbay kay saath naye saal ka aghaaz krte hein. Muharram, Islami calendar ka pehla aur intehai muqaddas maheena hai, jo sirf eik naye safar ki shuruwaat ka elaan nahi, balkay emaan, sabr aur yaqeen ki tazmeen bhi krta hai.
Muharram ka mahina Muslim ummah kay liye azeem fazilat rakhta hai. Is saal ki aamad eik ese waqt mein hui hai jab duniya mein nafrat, tafreeq aur jang ka ghalba hai. Muharram humein Hazrat Imam Hussain (R.A) ki qurbani yaad dilata hai jinhone zulm kay samnay jhuknay se behtar shahadat ko pasand kiya. Yeh woh waqt hai jab Hazrat Imam Hussain (R.A) ne Karbala mein haq aur sachai ka parcham buland rakha. Yeh waqt hai jab hum na sirf nayi duaaon kay saath saal ka aghaz karein, balkay apni niyyat, soch aur amal mein bhi roohani tajdeed laayein.
Is mauqay par Koyal apko Islami content se jurnay ka eik digital platform faraham kar rha hai. Aap Muharram aur naye saal se mutaliq Naat, Manqabat, Nohay, Duaein aur Tilawat mukhtalif quraa aur Naat khuwaan ki awazon mein Koyal par sun saktay hain. Koyal App download karein, aur apni rooh ko Zikr-e-Allah ka sukoon mehsoos karne dein.
Abhi Koyal App download karein aur diye gae link par click karein.
Quran: https://koyal.pk/genre/quran-29813
Hamd: https://koyal.pk/genre/audio/hamd-13
Naat: https://koyal.pk/genre/audio/naat-5
Manqabat: https://koyal.pk/genre/audio/manqabat-17









