Muhammad Samie, eik Pakistani Sufiyana icon hein jo eik ghair mamoli aur khud taraqqi yaftah sufiyana moseeqi ki shaqsiyat kay taur par ubhray aur Sufism ki boundaries mein reh kar eik alug aur bemisaal genre tashkeel diya. Muhammad Samie na sirf eik musanif, sha’ir, singer, composer, musician, aur video producer – balkay ek behtareen director aur eik dil lubha denay walay Graphic Designer bhi hein. Unhon ne bohat hi kam arsay mein Pakistan aur pori duniya mein eik ghair mamoli maqbooliyat hasil ki aur bohat bari taadad mein logon ko apna fan banaya hai.
Muhammad Samie 8 October 1988 ko Riyadh, Saudi Arabia mein paida howe aur unhon ne apni ibtidai taleem bhi wahein se hasil ki. Woh 1995 mein Gujranwala shift howe aur wahan se basic aur higher secondary taleem hasil ki. Punjab University se MBA ki degree mukammal karne kay baad unhon ne 2012 mein Chartered accountant (CA) ka safar shuru kiya aur 2016 mein degree mukammal kar kay mustaqil tor par Lahore shift hogaye.
2006 mein jab Muhammad Samie ne legend Aziz Mian Qawwal ki aawaz suni tou woh bohat mutassir howe. Us kay baad unhon ne apni play list mein Sabri brothers ko bhi shamil kiya aur un se inspiration hasil ki aur is ne un kay liye classical sha’iri ki rahein khol dein. Muhammad Samie ne traditional Qawwali aur Sufi kalam se inspiration lekar apni alag pehchan banane ka faisla kiya. Unhon ne eik naya genre tayar kiya jisay unhon ne khud “Short Sufi Spells” ka naam diya hai. Un ka sur aur vocal rhythm bohat nazuk magar powerful hai, jahan classical Sufi themes modern melodic banawat kay saath milti hain. Unhon ne apni khud-tashkeel sufi genre “Short Sufi Spells” kay zariye spiritual aawaz ko modern suron mein pesh kiya hai.
Muhammad Samie kay sab se ziada pehchaane jane wale tracks mein “Maikada,” “Banaam E Haider,” “Bekhud Kiye Dete Hain,” aur “Nami Danam” shamil hein aur ye tamam Kalam YouTube par millions of views hit kar chukay hein. Muhammad Samie kay fans sirf Pakistani tak mehdood nahi balkay un ki fan base global hai, un ki mystic music Youtube, Koyal aur un ki apni website par widely pasand kiya jata hai. Samie kay tracks na sirf religious audiences mein balkay un logon mein bhi maqbool hain jo Sufi music ko spiritual therapy aur hidayat ka zariya samajhte hain. Un ki fan base sirf Pakistan tak mehdood nahi hai balkay pori duniya mein pheli hui hai. Samie ne Sufi music mein eik esa bridge banaya hai jo tradition aur modernity dono se audience ko deeply connect karta hai.
Agar apne abhi tak Muhammad Samie kay hits nhi sunne tou Koyal App par un kay hit tracks moujood hein. Sun’ne kay liye abhi Koyal App download karein aur diye gaye link par click karein









