12 Muharram-ul-Haram ka din un lamhon ka gawah hai jahan zulm khatam nahi howa, sirf zulm ki shakal tabdeel hui thi. Ahl-e-Bait (A.S.) ka imtehaan abhi baqi rehta hai. Yeh din sirf shahadat kay baad ka soug nahi, balkay us safar ka aaghaz hai jahan zulm kay baawajood sabr aur izzat ka jhanda buland raha.
Karbala ka maidan, jahan Imam Hussain (A.S.) aur unkay wafadar saathi haq kay liye shaheed howe, ab khaamoshi aur gham se bhar gaya tha. Bibi Zainab (A.S.) ne jis sabr, hoslay aur ilm se Yazeed kay darbaar tak ka safar tay kiya, uss ka har din tareekh ka roshan safha hai. 12 Muharram woh waqt tha jab maidan-e-Karbala se shaheedon kay jism uthaaye ja rahe thay, aur khamoshi mein rotay howe zameen aur asmaan bhi ghamgheen thay. Magar us khaamoshi mein bhi Bibi Zainab (A.S.) ka sabr, aur Imam Zain-ul-Abideen (A.S.) ka hosla har zulm par bhari tha.
Isi tareekh ka eik aur dardnaak waqiya hai kay 12 Muharram 95 Hijri mein Imam Ali ibn al-Hussain Zain-ul-Abideen (A.S.) ka wisaal howa. Aap woh Imam thay jinhone Karbala kay baad Qur’an ka paighaam apni zindagi se amal mein dhal kar ummat tak pohanchaya. Aap ne Sahifa Sajjadiya jese kalam kay zariye duaon mein mazloom ki faryaad likhi, esi faryaad jo aaj bhi har dil ko dehla deti hai. Aj bhi, Musalman duniya bhar mein 12 Muharram ki ghamdheen yaadein aqeedat kay saath manate hain.
Is dil giriftah moqay par Koyal App par woh kalaam maujood hain jo Karbala kay baad kay gham, sabr aur dars ko zabaan dete hain. Nadeem Sarwar, Farhan Ali Waris, aur Syed Raza Abbas Zaidi kay kalaamon mein woh roohaniat hai jo Imam Sajjad (A.S.) kay dukh bhare safar ko mehsoos karwate hain aur un lamhon ko dobara zinda karte hain jahan sabr eik baar phir sei fateh tha aur zulm ko shikast hui.
Aaj kay din aap bhi Karbala kay baad kay safar ko yaad karein, wo safar jo 12 Muharram se Kufa, Shaam, aur wahan se wapis Madinah tak chala. Suniye Karbala kay baad ki dastaan Koyal par Farhan Ali Waris kay Nohay “Sajjad A.S. Roya aur Bohot Roya”, “Sajjad A.S. ki Aai Sada” aur “Sajjad Nahi Bholey”, Syed Raza Abbas Zaidi kay Nohay “Sajjad A.S. Yahan Par Toot Gae” aur Nadeem Sarwar kay Nohay “Sajjad Sajjad” mein.
Koyal App download karein aur diye gae links par click karein;
Sajjad A.S. Roya aur Bohot Roya: https://koyal.pk/track/sajjad-a-s-roya-or-bohot-roya-4441
Sajjad A.S. Nahi Bholey: https://koyal.pk/track/sajjad-nahi-bholey-4475
Sajjad A.S. ki Aai Sada: https://koyal.pk/track/sajjad-ki-aai-sada-7549
Sajjad A.S. Yahan Par Toot Gae: https://koyal.pk/track/sajjad-a-s-yahan-par-toot-7201
Sajjad Sajjad: https://koyal.pk/track/sajjad-sajjad-7600








