Jummah ka din Islam mein barkat aur rehmaat ka din mana jata hai eik esa din jab moomin ka dil aur rooh dono Allah ki yaad se roshan hotay hain. Isi rohaani fiza mein jab “Kaabay Ki Ronaq, Kaabay Ka Manzar” jese kalam ki sada goonjti hai, tou lagta hai jaise Haram ki roshni aur barakat mehsoos horhi ho. Yeh kalam sirf eik Naat ya Hamd nahi, balkay eik esi roohani safar ki manzil hai jo dil ko Allah kay ghar tak le jati hai.
Kalam “Kaabay Ki Ronaq” sun’nay walon ko eik esi sakoon aur khushi ki lehar mein le jata hai jahan dil kay har konay se bas yehi sada uthti hai “Allahu Akbar, Allahu Akbar.” Is Kalam ka har misra, har lafz eik esi jazbaati gehrai rakhta hai jo sun’nay walay kay dil ko Masjid-ul-Haram ki fizaon tak phoncha deta hai. Kalam kay pehle misre “Kaabay ki ronak, Kaabay ka manzar” se hi rooh par eik sakoon ka asar hota hai. Yeh woh manzar hai jahan moomin ki aankhon mein aansun aur dil mein shukar ka jazba eik saath bhar aata hai. Ye kalam eik safar hai, eik ese manzar ka jab eik momin Kabatullah kay samne khara hota hai. Is kalam ko likhne wala apni hairat aur shukar ko lafzon mein dhal rha hai:
Hairat Se Khud Ko Kabhi Dekhta Hu,
Aur Dekhta Hu Kabhi Mai Haram Ko,
Laya Kahan Mujhko Mera Muqaddar,
Allahu Akbar Allahu Akbar.
Yeh alfaaz insaan ki us kaifiyat ko bayan kartay hain jahan insaan apne muqaddar par hairaan hai, kay kis khushi aur rehmaat se Allah ne usse apne ghar tak bulaya. Jummah kay din, jab har musalman apne Rab kay huzoor namaz aur dua mein masroof hota hai, tou ye kalam un jazbaat ko aur gehra kar detay hain jaise insan apne aaqa kay ghar kay saamne sajda mein gir gaya ho. Kalam kay aglay hisay mein likha gaya hai:
Hamd E Khuda Se Tar Hai Zabanein
Kaanon Me Rass Ghoolti Hai Azaanein
Bus Eik Sada Aa Rahi Hai Barabar
Allahu Akbar Allahu Akbar
Jummah kay din jab har masjid mein “Allahu Akbar” ki aawaz goonjti hai, tou “Kaabay Ki Ronaq” ka yeh hissa insan kay andar eik ajeeb sukoon paida karta hai. Yeh Kalam na sirf eik Hamd hai, balkay eik ibadat ka ehsas hai jo insan ko duniya kay halat aur rozmarrah ki Zindagi se kaat kar Rab kay huzoor le jata hai. Is kalam ka teesra hissa un jazbaati lamhon ko bayan karta hai jahan insaan apni duaein arz kar raha hota hai:
Mangi hai maine jitni duaein,
Manzoor hongi maqbool hongi,
Mizaab e Rehmat hai mere sar par,
Allahu Akbar Allahu Akbar.
Jummah kay din jab moomin apni duaon mein magan hota hai, tou Kalam “Kaabay Ki Ronaq” ka yeh hissa un duaon ka sathi ban jata hai. Is kalam ko sun’nay walay par asar ye hota hai kay wo apni har dua mein khud ko Allah Ta’ala kay aur qareeb mehsoos kartay hain. Is din jab moomin apni tauba aur duaon mein roota hai tou ye kalam us kay jazbaat ka tarjuman ban jata hai.
Yaad aagayi jab apni khatayein,
Ashko me dhalne lagi iltijaein,
Roya Gilaf e Kaaba pakar kar,
Allahu Akbar Allahu Akbar.
Is hissa mein wo jazbaati manzar hai jahan banda apni gunahon ki yaad mein ro parta hai. Kaabay kay gilaf ko pakar kar rone ka manzar eik esi touba aur roohani soorat paida karta hai jahan har aansun ibadat ban jata hai. Jummah ka din bhi touba aur maafi ka din hai, is din Kalam “Kaabay Ki Ronaq” dil ko roohani tor par aur bhi nam kar deta hai. “Kaabay Ki Ronaq” ka har misra Jummah kay din ki roohaniyat ko aur gehra kar deta hai. Yeh din ibadat, dua aur maafi ka din hai aur ye kalam un jazbaat ko lafzon mein dhal kar insaan kay dil tak lay jata hai. Jab ye kalam sun’nay mein aata hai tou dil mein eik sukoon aur barakat mehsoos hoti hai. Is Kalam ka har “Allahu Akbar” insan kay andar iman ki roshni bhar deta hai.
Ab aap Koyal App par mukhtalif Naat Khuwan ki aawaz mein Kalam “Kaabay Ki Ronaq” sun sakte hain. Apni pasandeeda aawaz mein Kalam sunne kay liye Koyal App download karein aur diye gaye link par click karein
Owais Raza Qadri: https://koyal.pk/track/kabay-ki-ronaq-37826
Adnan Saifi: https://koyal.pk/track/kaabay-ki-ronaq-175624
Hafiz Muhammad Shahmeer Ali Attari: https://koyal.pk/track/kaabay-ki-ronaq-153059
Syed Fahad Wahid Ali: https://koyal.pk/track/kaabay-ki-ronaq-39947









