Har Jummah musalmanon kay liye eik azeem din hota hai, eik esa din jo sirf ibadat tak mehdood nahi, balkay rooh ki tazgi aur Rab kay qareeb honay ka moqa hota hai. Yeh din insan ko yaad dilata hai kay har shay ka Malik aur Khaliq wohi Rab-e-Kainaat hai jo har cheez par Qadir hai. Ese mein agar koi kalam insaan kay andar ki awaaz ban kar ubhray, tou woh hai “Na Tera Khuda Koi Aur Hai”.
“Na Tera Khuda Koi Aur Hai, Na Mera Khuda Koi Aur Hai”, kalam kay ye alfaz jab kisi dil mein utartay hain, tou sirf eik nashist ka asar nahi dete, balkay insani tafreeq, mazhabi tafreeq, aur ghuroor ka parda cheer detay hain. Yeh kalam yaad dilata hai kay har shakhs, har qaum, har zaat ka Rab eik hi hai. Yeh zameen, asmaan, darakht, pahar sab ussi Rab kay sajda guzaar hain. Tou insaan kyun bhatak raha hai?
Kalam kay ye alfaaz insaan ko shirk se roknay ka, ibadat ka asal maqsad samjhanay ka, aur insaniyat ko eik bananay ka paighaam hai.
Kyon shirk main hai tu phasa howa kyon noor say tu door hai
Kyon ghoomta hai yahan wahan naheen ila koi aur hai
Na tera khuda koi aur hai
Na mera khuda koi aur hai
Yeh jo rastay hain juda juda
Yeh mamla koi aur hai
Yeh sirf misray nahi, balkay eik roohani agahi hain. Yeh kalam eik roohani paighaam hai kay duniya kay rang, mazhab, aur raastay chahay alag hon, lekin Rab eik hi hai. Kalam ka har misra sunnay walay ko apni andar ki duniya mein jhankne par majboor karta hai. Kalam ki
Jo na jhuk saka na pa saka yehi silsila har daur hai
jesi lines insan ko yaad dilati hain kay asal maqam ussi ko milta hai jo apne aapko bas Allah kay samnay jhukata hai kisi aur kay samne nahi. Aaj kay fast paced time mein insaan bhool gaya hai kay sirf wohi acha maqam patay hein jo apne Allah ko razi krte hein, aaj kal loug insaano kay aage peeche phirne aur unkay samne jhuknay par majboor hein kyun kay woh Allah sei dur hote jarhe hein. Aaj ka insaan sirf zaahir ki duniya mein uljha howa hai. “Na Tera Khuda Koi Aur Hai” jese kalam humain yeh yaad dilatay hain kay asal sukoon Allah kay samne sajday aur Allah kay zikr mein chhupa howa hai. Yeh kalam humein yeh bhi samjhata hai kay hum sirf musalmaan nahi, balkay is dunya ka eik hissa hain jiska Rab eik hai. Yeh tafreeq, yeh tafarqa, yeh ‘main aur tu’ ki zehniyat, sab kuch khatam ho jata hai jab insaan apne andar Khuda ko dhoondta hai.
Jummah ka din roohaniat ka din hai. Har musalmaan iss din kuch zyada sakoon, kuch zyada qurbat mehsoos karta hai. Isi rujhan ko samajhtay howe Koyal App ne roohani kalamaat, Hamd, Naat, aur Sufi Qawwaliyon ka eik be-misaal collection pesh kiya hai jahan “Na Tera Khuda Koi Aur Hai” jese kalam digital platform par har kisi kay liye moujood hain. Koyal App ne is Kalam ko digital duniya mein eik roohani safar bana diya hai, jahan log sirf isay suntay nahi, mehsoos karte hain.
“Na Tera Khuda Koi Aur Hai” ko high-quality streaming kay saath aap Har Jumma isay ibadat kay silsilay ka hissa bana saktay hain. Chahay subah ka waqt ho, ya shaam kay tanha lamhon mein yeh kalam har waqt dil ko jhuknay par majboor karta hai. Har Jummah ko Koyal App aapko woh Kalam sunata hai jo aapkay andar ki awaaz ko jagata hai. Is Friday “Na Tera Khuda Koi Aur Hai, Na Mera Khuda Koi Aur Hai” sunna mat bhooliye ga. Sunnay kay liye abhi Koyal App download karein aur diye gae link par click karein









