Jummah ka din Islami taqdeer mein fazilat, barkat aur rehmat ka din mana jata hai, aur is mubarak din ka eik qeemti hissa hai Surah Al-Kahf ki tilawat, jo musalmanon ko na sirf roohani itminan deti hai balkay unhein fitnon se hifazat, zindagi ki mushkilaat se bachao, aur Allah ki rehmat kay qareeb lei aati hai. Duniya bhar kay ulama aur mufassireen ne Jummah kay din Surah Al-Kahf ki qira’at ko sunnat-e-Nabvi ﷺ se sabit aur nihayat fazeelat ka hamil qarar diya hai.
Surah Al-Kahf Qur’an-e-Majeed ki 18th surah hai. Ye Surah Makkah mein naazil hui. Is surah ka markazi paighaam imaan ki hifazat, fitnon se bachao, sabar ki ehmiyat aur Allah ki qudrat ka izhar hai. Surah Al-Kahf maslmanon kay liye barkaton or rahnumai ka zaria hai. Surah Al-Kahf kay fawaid, is ki ehamiyat ko samajh kar or is ko apni zindgi mein shamil kar kay aap is kay bohat se faide hasil kar sakte hein. Chah hai dajal se hifazat ki talash ho, roohani yaa akhalaqi rahnumai, Surah Al-Kahf har moman kay liye eik sabaq bhi hai. Har muslman par laazim hai kay woh Surah Al-Kahf ki pehli aur akhri 10 aayat hifz karay aur unhein namaz mein parhay.
Jummah kay din is Surah ki tilawat na sirf sunnat hai, balkay ye Surah insaan kay andar wo nazariya paida karti hai jo usse poore haftay ki roohani quwat deta hai. Roz-e-Jummah Surah Al-Kahf ki tilawat se mutaliq kai ahadees manqool hain. Ahadees mein aata hai kay, Rasool Allah ﷺ ne farmaya;
“Jis Nay Jummah Kay Din Surah Al-Kahf Ki Tilawat Ki, Us Kay Liye Eik Roshni Roshan Hogi Jo Eik Jummah Se Dusre Jummah Tak Chamkay Gi.”
(Al-Hakim 2/399 Al-Bayhaqi 3/249)
Is hadith ka mafhoom ulama ne yeh bayan kiya hai kay Jummah kay din ye Surah parhne se insaan ko Allah ki taraf se noorani hidayat hasil hoti hai jo aglay Jummah tak raasta roshan karti rehti hai. Aaj kay is fitnon kay daur mein ye noorani hifazat har musalman kay liye behad zaroori ho chuki hai. Ulama kay mutabiq Surah Al-Kahf ki sabse qeemti fazeelat ye hai kay ye Dajjal kay fitnay se hifazat deti hai jo duniya ka sabse bara fitna hoga. Riwayat hai:
“Jis Nay Surah Al-Kahf Kay Awwal Das Ayaat Hifz Kiye, Isse Dajjal Kay Fitne Se Mehfooz Kar Liya Gaya.”
(Sahih Muslim 1883 – The Book of the Merit of The Holy Quran)
Ulama kay mutabiq, is Surah ka har qissah As’hab-e-Kahf se le kar Hazrat Musa (A.S.) aur Hazrat Khizar (A.S.) tak, aur Zulkarnain kay waqiye tak insani rooh ko mazboot banata hai aur banday ko duniya ki aazmaishon kay samnay qaim rehna sikhata hai. Yeh waqiyah aaj kay dor kay musalman ko yeh sabaq deta hai kay mushkilat aksar rahmat aur imtihan dono hoti hain, aur har hal mein Allah par yaqeen insan ko andar se mazboot bana deta hai.
Ulama kehte hain kay jis ne Jumaah kay din Surah Al-Kahf parhnay ko apni aadat bana lia, us kay roohani safar mein eik stability paida ho jati hai jo har musalman kay liye laazmi hai. Agar aap is Jummah Surah Al-Kahf ko sun’na chahte hain to Koyal App par tilawat high quality mein moujood hai. Naujawan ho ya buzurg, sab kay liye Qur’ani tilawat ki sun’wai roohani quwat aur sukoon ka eik azeem zariya hai. Jumaah kay din Surah Al-Kahf ki tilawat musalman kay liye noor, hifazat, sabar, aur imaan ka zariya ban jati hai.
Surah Al-Kahf sunne kay liye Koyal App download karein aur neeche diye gaye link par click karein:









