Jummah ka din musalmano kay liye sirf ibadat ka din nahi, balkay roohaniyat, barkat aur maghfirat ka din mana jata hai. Qura’n aur Hadees mein Jummah kay din ki fazilat ka baar baar zikar aya hai. Is din eik mo’omin banday ka dil aur zyada Allah ki yaad se tar-o-taaza hota hai. Har dua mein taskeen milti hai, aur har ibadat mein roohani sukoon barh jata hai. Aise hi eik Jummah Mubarak kay din agar hum Allah ki hamd-o-sana mein doob jayein, tou dil ka har bojh halka ho jata hai.
Isi taskeen aur barkat ko sametnay wali mashhoor hamd “Wohi Khuda Hai” musalmano kay liye eik azeem roohani nazrana hai, jo Allah ki qudrat, uski wahdaniyat aur uskay nizaam-e-hasti ko samajhnay ka zariya hai.
Hamd ka pehla misra hi dil ko roshan kar deta hai:
Koi To Hai Jo, Nizaam-E-Hasti
Chala Raha Hai, Wohi Khuda Hai
Dikhayi Bhi Jo Na De Nazar Bhi
Jo Aa Raha Hai, Wohi Khuda Hai
Yeh alfaaz insaan ko apne aas paas kay nizaam ki taraf mutawajjah karte hain. Aasmaan par chamakta hua noor, din aur raat ka safar, hawa ka chalna, paani ka behna yeh sab Allah ki qudrat ki nishaniyan hain. Hamd yeh pegham deti hai kay insaan ko apni zindagi ki mushkilat mein bhataknay ki zaroorat nahi, kyun kay har cheez eik hi nizaam mein chal rahi hai, aur woh nizaam Allah ka hai.
Nazar Bhi Rakhe, Samaatein Bhi
Woh Jaan Leta Hai, Neeatein Bhi
Jo Khana-E-Lashaoor Mein Jagmaga Raha Hai
Wohi Khuda Hai, Wohi Khuda Hai
Yeh misray insaan kay ander girift ka ehsaas paida karte hain. Allah sirf zahiri amal ko nahi, balkay dil ki niyat aur khayalat tak ko janta hai. Koi bhi cheez Allah ki nazar se chupi hui nahi hai. Woh har cheez ka ilm rakhta hai aur har cheez par Qadir hai. Hamd ka har lafz dil kay andar utarta hai.
Talash uss ko, na kar buttoun mein
woh hai badalti hui ruttoun mein
Jo din ko raat aur raat ko din
bana raha hai, wohi khuda hai
Hamd kay ye alfaaz insaan ko shirk aur ghalat raaston se bachatay hain. Yeh insaan ko Allah ki qudrat ka aeni-shaahid banatay hain. Ye hamd ye ehsaas dilati hai kay insaan kay bas mein kuch nahi. Jo din ko raat banata hai, jo mausam badalta hai, jo insaan ki saansein tak gin raha hai, wohi asal malik hai. Hamd kay alfaaz har moomin kay liye zindagi ka asal paigham hain. Hamd ka har misra insaan ko yaqeen dilata hai kay chahay duniya mein kitni hi mushkilaat kyun na hon, asal madadgar sirf Allah hai. Hamd-o-Naat ki aawaz masajid, gharon aur mehfilon mein goonjti hain. Hamd “Wohi Khuda Hai” is roohani fiza ko aur gehra kar deti hai.
Hamd “Wohi Khuda Hai” apne andaaz aur simplicity ki wajah se har daur mein pasand ki gayi. Is hamd ko mukhtalif fankaron ne apni aawazon mein zinda rakha. Sab se zyada isay Nusrat Fateh Ali Khan aur Atif Aslam ki aawaz ne isse immortal bana diya hai. Har generation is ko apne dil mein jagah deti hai, aur har dafa sun’ne par insaan ka iman aur yaqeen taaza ho jata hai.
Koyal App par laa – zawwal kalam “Wohi Khuda Hai” mukhtalif Naat Khuwan ki aawazon mein moujood hain. Koyal ka mission hai kay har aawaz, har jazba aur har kalam ko nayi nasal tak pohnchaya jaye. Yeh sirf eik music platform nahi, balkay eik archive hai jo Pakistan ki asli pehchan ko digital daur mein zinda rakh raha hai. Is Jummah, apne dil ko Allah kay zikar se roshan karein. Har ibadat mein niyat ko saaf rakhein.
Koyal App par “Wohi Khuda Hai” sunne kay liye Koyal app download karein aur diye gaye links mein se apnay pasandeeda Naat Khuwan ki aawaz mei Hamd sunein:
Shahzad Haidri: https://koyal.pk/track/wohi-khuda-hai-127598
Shabaan Mushtaq: https://koyal.pk/track/wohi-khuda-hai-73746
Ali Raza Kazmi: https://koyal.pk/track/wohi-khuda-hai-71789
Muhammad Haris Qadri: https://koyal.pk/track/wohi-khuda-hai-49510









