Blogs Koyal.pk
Jummah Ka Din aur Durood O Salam ki Fazilat “Ya Rasool Allah Tere Dar Ki Fizaon Ko Salam”

Jummah Ka Din aur Durood O Salam ki Fazilat “Ya Rasool Allah Tere Dar Ki Fizaon Ko Salam”

Jummah ka din Musalmanon kay liye barkat, rehmaat aur roohaniyat ka din hai. Is din ki fazilat Qur’an-o-Hadees se sabit hai jahan Nabi Kareem ﷺ par Durood aur Salam bhejna Musalmanon kay liye sabse afzal amal qarar diya gaya hai. Har Jummah, duniya bhar kay Musalman dil se chahte hain kay unka Salam Madina tak pohanch jaye, aur woh roohani qurbat hasil kar sakein jo sirf ishq-e-Rasool ﷺ ki manzil hai.

Salam “Ya Rasool Allah Teri Dar Ki Fizaon Ko Salam” kay alfaaz aur mashoor Naat khuwan ki aawaz Madina ki fizaon ka tasawur paida karti hain. Is Salaam ka pehla misra hi dil ko lehrata hai:

Ya RasoolAllah, Tere Dar Ki Fizaon Ko Salaam, 

Gumbad e Khazra Ki Thandi, Thandi Chaon Ko Salaam

Jab sunne wala ye misra sunta hai tou uskay dil mein roohani thandak bhar jaati hai. Ye alfaaz sun’ne wale ko Madina ki khushbuon mein le jate hain. Gumbad-e-Khazra ka zikar har Musalman kay dil mein eik aisi roohani tasveer banata hai jo taskeen aur sukoon ka zariya ban jati hain. Phir misra aata hai:

Walhana Jo Tawaf e Roza e Anwar Karein, 

Masto Be Khud Wajd Mein Aati Hawaon Ko Salaam.

Yahan un hawaon ka zikr hai jo Masjid-e-Nabwi aur Roza-e-Anwar kay gird phirti hain. Aisi tasveer insan ko mehsoos karwati hai jaise wo khud us maqam par hazir hai. Is kalam kay har misre mein Salam ka eik naya rang hai. Jaise:

Jo Madiney Ki Gali Kuchon Mein Detey Hain Sada

Ta Qayamat Un Gadaon Aur Faqiron Ko Salaam

Ye misray un un logon kay liye hain jo Madina ki galiyon mein dua aur Salam ki sadaa lagate hain, jo Madina ki galiyon mein Allah aur Rasool ﷺ ka zikar karte hain. Unki sada ta qayamat goonjti rahegi aur unkay liye Salam bhejna ishq-e-Rasool ﷺ ki nishani hai kyun kay wahan ki galiyon mein phirna har Musalman kay liye khush naseebi hai. Aur Rasool-e-Pak ﷺ kay darbar mein sab barabar hain, chaahe wo shah ho ya faqeer. Unki duaon mein woh barkat hai jo dil ko roshan karti hain.

Jummah kay din Salam aur Durood bhejna Musalmanon kay liye sab se afzal amal hai. Ye din ibadat, zikar aur khuda ki rehmaton ka din hai. Isi liye Jummah kay din ko Salam aur Durood se roshan karna Musalmanon kay liye iman ka hissa hai. Yeh Salam jab mashoor Naat khuwan Fasihuddin Soharwardi aur Abida Khanam apni aawaz mein pesh karte hain tou har misra aur bhi pur-asar ho jata hai. Unki aawaz mein eik saadgi, aadab aur jazbaat ki gehraai hai jo sun’ne wale ko roohani safar par le jaati hai. 

Abhi Koyal App download karein, diye gaye link par click karein aur sunein Kalam “Ya Rasool Allah Teri Dar Ki Fizaon Ko Salam”.

Fasihuddin Soharwardi: https://tinyurl.com/2km5zdd9 

Abida Khanam: https://tinyurl.com/ymuawsp3

Wania Siddiqui

I’m Wania Siddiqui, a passionate journalist with over a year of experience in the fast-paced world of News channels. I love uncovering important facts, sharing diverse perspectives, and bringing cognitive details to the public. I’m passionate about telling real-life ignored stances and provoking incidents that educate the society and bring richer details to audiences.

mainzeus slot mpo slot gacor jawaraliga slot gacor malam ini happy838 slot maxwin mainzeus slot777 slot qris