Lok gaanay aur riwayati mooseeqi Pakistan ki tehzeeb aur saqafat ka eik eham hissa hain. Har ilaqa apni zubaan, apni riwayat aur apne jazbat ko mooseeqi kay zariye aagay barhata hai. Aise hi eik roshan sitara, Pakistani folk singer Muneer Awan, jinhon ne apni aawaz aur shayarana kalam kay zariye Hindko mooseeqi ko mulk bhar aur sarhad paar tak pehchaan dilai.
Muneer Awan ka taluq Punjab kay Jhang region se hai. Bachpan se hi woh ese mahool mein pale jahan Sufi kalam, Qawwali aur riwayati mehfilein aam thein. Unhon ne sbse pehle Sufi or Hindko wirsay mein maqami Qawwali aur mehfilon aur mazaron par sune jane walay cultural aur Sufi Kalamon kay zariye music industry mein qadam rakha. Unki shayari se muhabbat ki wajah se woh Hindko songs likhne lage aur Hindko cultural events aur private events mein perform karna start kiya.
Hindko eik eham zubaan hai jo Pakistan kay northwestern side kay kai ilaqon mein boli jati hai, magar national media par kam hi nazar aati hai. Muneer Awan ne apne gaanon kay zariye Hindko zubaan ko eik naye dor mein pohnchaya. Unka shayarana andaaz aur riwayati lok music ko modern andaaz mein pesh karna, Hindko language aur culture kay liye eik qeemti khidmat hai.
Un kay mashhoor gaanay “Gham Diyan Ratan,” “Yar Je Russ Jawan,” “Assan Hazarey Waal Sadey Yaar Hazarey,” aur “Gal Niki Jaei Ni” Hindko zaban kay ese ganay hain jo sirf eik ilaqai sur nahi, balkay pooray mulk mein pasand kiya gaya. Muneer Awan ki shayairi aur sur dono Sufi aur saqafati riwayaat se juray hain. Unkay alfaaz mohabbat, dosti, intezaar aur roohaniat kay ehsaasat se bharpoor hote hain. Hindko lok geet ki khoobsurti yeh hai kay yeh insaan kay dil kay andar ki aawaz ko bahar la dete hain.
Lok geet ko modern stage par lana aasan kaam nahi hota, lekin Awan ne apne unique vocals aur soulful andaaz kay saath ye kaam kar dikhaya. Pakistan ki a’awam kay dilon mein lok moseeqi ka gehra asar hai. Muneer Awan kay gaanay aksar gaon ki shaam, dosti kay ehsaas aur mohabbat ki sadaqat ka tasur dete hain. Unki aawaz mein Qawwali ki taaqat aur folk gaanay ki mithaas dono nazar aati hain. Yeh hi wajah hai kay unki har performance mein rohaaniyat aur dosti dono ka rang milta hai.
Is digital era mein electronic media aur digital platforms ne folk music ko eik nayi life di hai. Koyal jese platform ne riwayati gaanon ko archive kiya hai jahan fankar jese Muneer Awan ki recordings nayi nasal tak pohanch rahi hai. Muneer Awan ka fanbase sirf buzurgon tak mehdood nahi, balkay young generation bhi unki soulful aawaz aur shayairi ki simplicity ko pasand karti hai. Woh na sirf eik fankar hain, balkay eik cultural ambassador bhi hain jo Hindko aur Pakistani lok music ko apni soulful aawaz, powerful lyrics aur traditional music kay zariye zinda rakh rahe hain.
Aaj jahan music apps aur online platforms ne sarhadein mita di hain tou Muneer Awan ka folk fun sirf mehfilon aur local gatherings tak mehdood nahi raha. Unkay Hindko gaanay ab global audience tak pohnch kar Pakistani tehzeeb ka asli roop samnay la rahe hain. Yeh suron ka safar na sirf purane riwayati virsay ko zinda rakhta hai, balkay nayi nasal ko bhi apni zubaan aur culture se jurna sikhata hai.
Koyal App par Muneer Awan kay 100+ tracks moujood hein. Muneer Awan ki tracks collection sunne kay liye Koyal App download karein aur diye gaye link par click karein









