Blogs Koyal.pk
From Multan to Millions Ajmal Sajid is Redefining Saraiki Folk

From Multan to Millions – Ajmal Sajid is Redefining Saraiki Folk

Multan ki purani galiyon se uthi eik awaaz Ajmal Sajid, aaj Saraiki folk music ka woh naam ban chuka hai jise Pakistan mein hi nahi, balkay duniya bhar mein pasand kiya jata hai. Unka andaz-e-bayan, unki dil se nikli hui awaaz aur unki riwayati musiqi ne unhein eik mukhtalif rutba dilaya hai.

Ajmal Sajid, eik ubharta howa naam jo aaj Saraiki music ki duniya mein tezi se maqbool ho raha hai. 1990s kay aakhir mein jab unhone apna singing career shuru kiya, tab se lekar aaj tak Ajmal Sajid ne kai albums release kiye hain jo Saraiki logon kay jazbaat ka behtareen izhar hain. Ajmal Sajid ka har kalam, har song us matti se jura howa hai jahan sei unka taluq hai, Punjab ka dil, Multan. Unkay gaanay mohabbat, judai, aur samaji masail par mabni hotay hain lekin in tamam jazbaat ko woh itne dil se gungunate hain kay har sunnay wala unmein apni kahani dhoond leta hai.

Unki aawaz mein woh dard hai jo sirf zindagi ka tajurba rakhne wale artist mein hota hai. Ajmal Sajid ki popularity ka saboot yeh hai kay unka har naya song sirf Saraiki belt mein nahi, balkay Karachi, Lahore, aur overseas Pakistani communities tak suna jata hai. Unka lehja, unki adaa aur unka andaaz sab kuch pur-asar aur munfarid hai. Woh sirf eik singer nahi, balkay paighaam ko mehsoos karwanay walay fankar hain. Unki pehchan unki awaaz aur apne alfaaz ko samajhnay ki salahiyat hai. Unka music sirf alfaaz nahi, balkay eik soch, eik asar le kar aatay hain. Ajmal Sajid kay live concerts unki pehchan ban chuke hain. Aksar unki performances mein eik naya junoon dekha jata hai.

Ajmal Sajid ka fun sirf albums tak mehdood nahi raha. Woh Pakistan ke mukhtalif music channels par bhi bar bar dekhe gaye hain, jahan unki shanakht aur bhi mazboot hui. In platforms ke zariye unhone Saraiki culture ko promote kiya eik esi language jise mainstream media mein kam represent kiya gaya hai. Ajmal Sajid ne kuch Saraiki films aur dramas ke liye music direction bhi ki hai jahan unka riwayati andaaz har dafa eik naya rang laata hai. Aaj bhi unkay kai gaanay “Saraiki Folk Media” platforms aur digital archives ka hissa hain jahan unka kaam eik cultural asset ki soorat mein rakha gaya hai.

Ajmal Sajid ka mashhoor track “Saku Shoq” ne YouTube par millions view hasil kiye aur usay eik nai shanakht di. Iskay ilawah unkay famous tracks “Ghurbat da parda” aur “Chan Asmani” hain jo social media par bhi viral howe. In kalamon mein Ajmal Sajid ki simplicity aur sachai jhalakti hai. Ajmal Sajid kay songs mein eik gehraai hai. Woh sirf gaate nahi, balkay har misray ko zindagi ka hissa bana dete hain. Yeh sirf entertainment nahi, balkay eik cultural preservation ka kaam hai. 

Koyal App, Pakistan ka sab se bara regional music platform, ab Ajmal Sajid kay tracks ko promote kar raha hai. Agar aap bhi apne dil ko eik asli Saraiki awaaz se jorna chahtay hain tou Ajmal Sajid kay 150+ gaanay ab Koyal par high-quality audio mein moujood hain, jahan aap har track asliyat aur jazbaat kay saath mehsoos kar saktay hain., 

Sun’ye Ajmal Sajid kay kalam Koyal App par:
https://koyal.pk/artist/ajmal-sajid-56 

Wania Siddiqui

I’m Wania Siddiqui, a passionate journalist with over a year of experience in the fast-paced world of News channels. I love uncovering important facts, sharing diverse perspectives, and bringing cognitive details to the public. I’m passionate about telling real-life ignored stances and provoking incidents that educate the society and bring richer details to audiences.

mainzeus slot mpo slot gacor jawaraliga slot gacor malam ini happy838 slot maxwin mainzeus slot777 slot qris