Fasihuddin Soharwardi ka naam tilawat-e-Qur’an, Hamd, Naat aur Durood ki duniya mein eik azeem maqam rakhta hai. Unka andaaz-e-adaegi aur aawaz ki roohani gehraai unhein un chand naamwar Quraa aur Naat khuwanon mein shamil karti hai jo na sirf Pakistan mein balkay puri duniya mein maqbool hain. Fasihuddin ki aawaz mein woh asar hai jo dilon ko roshan karta hai aur roohon ko Allah aur Rasool ﷺ ki mohabbat kay saath jor deta hai.
Fasihuddin Soharwardi ki sab se bari pehchan unki qira’at hai. Mukhtalif surah ki tilawat unki zubaan se aisi shafqat aur jazbaat kay saath hoti hai kay sun’ne wala sirf lafzon hi nahi, balkay roohani asar bhi mehsoos karta hai. Qira’at kay saath saath Fasihuddin Soharwardi ne naat o hamd mein bhi eik alag maqam banaya hai. Fasihuddin kay Kalam “Rehmat Baras rahi hai”, “Jise dekhni ho Jannat woh Nabi kay dar se guzre” aur “Bari Umeed hai Sarkar Qadmon mein bulaein gei” sab se zyada pasand ki jati hain. Fasihuddin ne 150+ albums kay saath 5000 sei ziadah Naat parhne ka record banaya hai. Inkay Kalam na sirf dil ko jhukate hain balkay Allah ki rehmat aur karam ka ehsaas barhate hain.
Unkay timeless Kalamon mein “Hum Faqeeron Ko Madine Ki Galli Achi Lagi” aur “Mein Tu Panjatan Ka Ghulam Hoon” shamil hein. Eid Milad-un-Nabi ﷺ kay moqay par Fasihuddin ka Kalam “Assalatu Wassalamu Alaika Ya Rasool Allah” aur kai Hamd, Naat, Durood aur Salam aksar Masajid aur Mehfilon mein sunay aur parhay jate hain. Aise Kalam jahan Rasool ﷺ kay ziqar ka zariya banti hain, wahien sunne walon kay dilon mein mohabbat aur itminaan bhi paida karti hain.
Roohani kalam kay is safar ko aap tak pohanchane kay liye Koyal App par Fasihuddin Soharwardi ki 450+ Qira’at, Naat, Hamd aur Durood ki collection moujood hai. Jo log Quran, Naat, Hamd aur Durood kay asli roohani rang ko mehsoos karna chahte hain, unkay liye Koyal App eik behtareen platform hai. Ab aap kahien bhi, kabhi bhi Fasihuddin Soharwardi kay 450+ kalam sun sakte hain.
Download karein Koyal App aur neeche diye gaye link par click kar kay sun’ain Fasihuddin Soharwardi ki Tilawat aur Naat









