Punjab ya Sindh jahan kay bhi music ki baat ho, wahan Shazia Khushk ka naam izzat o fakhar kay saath aata hai. Un ki aawaz sirf zabanon tak mehdood nhi rahi balkay eik multicultural identity ka paighaam bhi diya. Pakistan kay Lok aur traditional music ki duniya mein Shazia Khushk eik azeez aur azeem maqam rakhti hein.
Shazia Khushk 1992 mein Jamshoro, Sindh mein paida huein. Un ko bachpan se hi music se lagao tha aur unhon ne maroof classical master Nusrat Fateh Ali Khan se taleem bhi hasil ki. Shazia Khushk ki music journey 1992 mein start hui. Shazia Khushk Pakistan ki doo mumtaaz zabanon Sindhi aur Balochi ki singer ban kar maqbool huein lekin woh Sindhi, Balochi kay ilawah Urdu, Kashmiri, Punjabi aur Brahui zabaan mein bhi gaana janti hein. Un ka Debut song “Mara Udheta Pakhiyara Kadi Aao Na Maare Des” release hotay hi maqbool hogya aur un kay music career ka eik naya dour shuru howa. Is se un ki eik mazboot pehchaan ban gayi aur unhon ne aage chalkar 500+ gaane record kiye aur 45 mumalik mein perform kiya.
Shazia Khushk ne apni aawaz ko sirf eik ilaqay ya zubaan tak mehdood nahi rakha balkay unhon ne Pakistan kay mukhtalif ilaqon ko apne suron mein jora. Un ka fun eik cultural bridge bana jahan Sindh ki dhun, Punjab ka jazba, aur Balochistan ka dard eik sath mehsoos hota hai. Unhon ne folk music ko eik modern touch diya aur saath hi apni riwayat aur asal pehchaan ko barkarar rakha. Un kay tracks “Dana Pe Dana,” “Lal Meri Pat,” “Mera Pia Ghar Aaya,” “Dam Dam Ali Ali,” aur “Dam Mast Qalandar” bohat maqbool hein. Un ka andaaz, un ki aawaz aur un ka jazba aaj bhi Pakistan ki cultural heritage ka zinda nishan hai. Shazia Manzoor ko US Consulate General, Karachi ne “Goodwill Ambassador” ka title diya. Is kay ilawah na sirf Pakistan mein balkay Uzbekistan ne bhi Shazia Khushk ko “Presidential Award” se nawazah. Un ko Sindh mein cultural services par “Latif Award” se bhi nawazah gaya aur na sirf yeh balkay un ko traditional music ko preserve krne aur usse faroogh dene mein ki gai numayan khidmaat kay aitraaf mein University of Sindh ki janib se Sufism aur Folk music mein Honorary fellowship se bhi nawaza gaya. 2019 mein unhon ne “religious obligations” ka hawala dekar music industry ko alvida kaha.
Aaj jab digital platforms ne music ko global bana diya hai, to Shazia Khushk ka fun bhi iss safar ka hissa ban gaya hai. Koyal App, Pakistan ka sab se bara regional music platform ne un kay 80+ tracks ko archive kiya hai. Koyal App ne Shazia Khushk jaise folk artists ko digital virasat ka hissa bana diya hai jahan un ka fun sirf Pakistan nahi balkay poori duniya kay liye moujood hai. Shazia Khushk ka naam Pakistan ki mooseeqi ki pehchaan hai aur un ka virsa hum sab kay liye fakhar ka sabab hai. Agar apne abhi tak Shazia Khushk kay tracks nhi sunnay tou abhi Koyal App download karein aur diye gaye link par click karein









