Pashto music ki duniya mein agar kisi ne riwayati suron ko nayi soch, taleem aur tehqeeq kay zariye eik naye dor ka aaghaz kiya hai, tou woh naam hai Karan Khan ka. Swat se uthi ye aawaz sirf eik singer ki nahi, balkay eik tehreek ki hai jismein pashto zabaan, saqafat aur mooseeqi ka fusion hai.
Karan Khan ka talluq Khyber Pakhtunkhwa kay khubsurat ilaqay Swat se hai. Woh April 1980 mein Swat kay eik gaon Tendodag, Ballogram mein paida howe. Choti age se hi unhein mooseeqi se lagao tha. Un kay walid chahte thay kay woh taleem par dhyaan dein, lekin Karan Khan ne apni aawaz ko apni pehchaan bana liya. Bachpan mein jab woh school functions mein gana gaate thay, tou logon ko mehsoos hota kay un ki aawaz mein eik alag jazba hai.
Karan Khan ne Graduation ki degree University of Malakand se hasil ki, uskay baad Pashto Literature mein Masters ki taleem hasil ki aur iskay baad bhi apni taleem ka silsila jari rakha aur aage chalkar University of Peshawar ki Pashto Academy se Doctorate ki degree hasil ki. Karan Khan ne apna musical career 2009 kay aas paas start kiya jab unhon ne Pashto gaane record karna shuru kiye. Shuruat mein un kay gaane ziada tar romantic aur riwayati lok sangeet par mabni thay, magar jald hi unhon ne apni soch aur andaaz badla.
Karan Khan ka mashhoor album “Tasweer” 2015 mein release howa. Is album mein unhon ne sirf pyar aur mohabbat kay gaane nahi, balkay aman, taleem aur insani jazbaat ko bhi apna mawaad banaya. Karan Khan ka andaaz un singers mein shamil hai jo sirf gaanay nahi banate, balkay eik fiqar paida karte hain. Un ka sab se mashhoor track “Da Meeny Mazhab” hai jo YouTube par 16M+ views hit karchuka hai. Is kay ilawah un kay mashhoor tracks mein “Tapaizy,” “Nawey Kal,” “Da Stargo Tora,” aur “Janan Janan De” shamil hein. Karan Khan kay gaanay aksar peace, education aur culture oriented hotay hain. Un ka maqsad hai kay Pashto youth ko apni pehchaan aur zameen se jora jaye. Karan Khan sirf singer nahi, eik adabi shanakht rakhne wale researcher bhi hain. Un ka taluq un kam artists se hai jo music kay saath-saath likhne aur samajhne ka hunar bhi jaante hain. Un ka kehna hai kay agar eik singer apni zabaan aur adab se waqif na ho tou uska art adhoora hai.
Pakistan kay mashhoor regional music platform Koyal App ne Karan Khan kay 50 se zyada tracks archive kiye hain. Aaj Karan Khan Pashto music industry kay un chand logon mein shamil hain jinhon ne riwayat aur modernity ka behtareen fusion kiya. Un ki aawaz Pashto saqafat ka aaina hai jis mein jazba, dard, fakhar aur umeed sab kuch hai. Agar aap ne abhi tak Karan Khan kay gaanay nahi sune, tou abhi Koyal App download karein aur diye gaye link par click karein:
https://koyal.pk/artist/karan-khan-348









