Blogs Koyal.pk
9 November Iqbal Day

Koyal Ki Janib Se Mufakkir-E-Pakistan Ko Khiraj-E-Aqeedat!

Har saal 9 November ka din Pakistan mein eik roohani aur fikri tazgi le kar aata hai jab poori qaum apne “Shaair-e-Mashriq” aur “Mufakkir-e-Pakistan” Allama Muhammad Iqbal (1877–1938) ko Khiraj-e-Aqeedat pesh karti hai. Ye din sirf eik yaadgar tareekh nahi, balkay us soch aur nazariye ki tajdeed ka moqa hai jis ne Musalman qaum ko apni pehchaan aur azadi ki raah dikhai.

Allama Iqbal 9 November 1877 ko Sialkot, Punjab, Sub Continent mein paida howe. Bachpan se hi Iqbal mein ilm aur fikar ka jazba paaya jata tha. Unhon ne apni taleem ka aaghaz Quran aur Arabic grammar se kiya, aur phir Scotch Mission College aur baad mein Government College Lahore se taleem hasil ki. Iqbal kay asaatza mein Sir Mir Hassan aur Thomas Arnold jese ullema aur fozla shamil the, jin ki rehnumai ne un kay zehan mein ilm aur falsafay ka shauq aur mazeed gehra kar diya. 1905 mein Iqbal ne Europe ka rukh kiya aur Cambridge University se philosophy aur law ki taleem hasil ki. Phir Munich University, Germany se doctorate ki degree li jahan un ka thesis “Development of Metaphysics in Persia” likha gaya jo aaj bhi Islamic philosophy ka eik bunyadi hawala mana jata hai. Europe kay safar ne Iqbal ko maghribi fikar, secularism aur science kay nizaam ko samajhne ka moqa diya. 

Allama Iqbal ka sabse bara falsafiyana nazriya “Khudi” ka hai. Ye eik aisi fikr hai jo insaan ko apni asliyat, apni taqat aur apne maqam ka ehsaas dilati hai. Is falsafay ka maqsad Musalmano ko ghulami, mayoosi aur be-hissi se nikal kar apni pehchaan dobara hasil karwana tha. Iqbal ne apni shaairi ko sirf izhar-e-zauq nahi, balkay fikr ka zariya banaya. Un ki shaairi mein Qurani mafhoom, Sufi tajurbaat aur falsafiyana ta’beer ka azeem ittehad milta hai. Un kay mashhoor falsafoon mein shamil hein “Bang-e-Dara (1908)”, jisme Iqbal ne watan parasti aur millat ka jazba ubhara, “Asrar-e-Khudi (1915)” jisme unhone self-realization ka paighaam diya, “Rumooz-e-Bekhudi,” “Payam-e-Mashriq,” “Bal-e-Jibreel,” aur “Zarb-e-Kaleem” jahan un ka falsafiyana aur islami nazriya aur mazeed pukahta hota gaya.

Iqbal kay nazdeek deen aur duniya do alag cheezein nahi, balkay eik mukammal nizaam hai jo insani zindagi kay tamam pehluon ka ihata karta hai. Un ka pegham sirf Musalmano kay liye nahi, balkay poori insaniyat kay liye tha. Unhon ne Qurani talimat ko samajhne aur un par amal karne par zor diya. Un ka vision eik aise Pakistan ka tha jo ilm, insaf aur akhlaq ki buniyad par qaim ho, eik aisi riyaasat jahan deen aur siyasat dono insani bhalai kay liye kaam karein. 9 November ko Iqbal Day ki munasibat se is din schools, colleges aur qaumi idaaron mein khaas programs ka inneqad kiya jata hai jahan un ki shairi, falsafi aur siyasi karnamon ko yaad kiya jata hai. Allama Iqbal ka paigham sirf un kay zamane tak mehdood nahi balkay har daur kay liye rahnuma hai. Aaj jab hum Iqbal Day mana rahe hain, humein sirf un ki shaairi par fakhar nahi karna chahiye, balkay un kay nazariyat ko apni zindagi aur muashray ka hissa banana chahiye.

Koyal App par iss din ki munasibat se eik khubsurat tributory song “Allama Iqbal” Ishtiaq Ahmed aur Tabassum Warsi ki aawaz mein moujood hai. Youm-e-Iqbal kay is mauqay par aap bhi song “Allama Iqbal” sun kar khiraj-e-aqeedat aur salam paish karein. Ishtiaq Ahmed aur Tabassum Warsi ka ye tributary track sunne kay liye abhi Koyal App download karein aur diye gaye link par click karein

https://koyal.pk/track/allama-iqbal-44924

Wania Siddiqui

I’m Wania Siddiqui, a passionate journalist with over a year of experience in the fast-paced world of News channels. I love uncovering important facts, sharing diverse perspectives, and bringing cognitive details to the public. I’m passionate about telling real-life ignored stances and provoking incidents that educate the society and bring richer details to audiences.

mainzeus slot mpo slot gacor jawaraliga slot gacor malam ini happy838 slot maxwin mainzeus slot777 slot qris