Pakistan ki music-industry mein jab baat regional folk aur modern pop kay fusion ki aati hai, tou Tahir Abbas ka naam zabaan par sab se pehle aata hai. Lahore se nikal kar South Punjab ki rich folk-heritage ko modern beats aur global streaming platforms kay zariye pesh karne wale Tahir Abbas ne na sirf Punjab walon kay dil jeetay hain, balkay digital era kay listeners ko bhi apni aawaz se fan bana liya hai.
Tahir Abbas 29 December 1996 ko Vehari District, Punjab mein paida howe. Unhon ne University of Punjab se Philosophy mein Master’s ki degree hasil ki, jo un ki intellectual soch aur music-vision ka saboot hai. Un ki aawaz mein sufiana rang aur lafzon mein falsafi gehraai unhein baki singers se alag banati hai. Tahir Abbas ne classical music ki taleem Arts Council, Karachi se bhi hasil ki. Unhon ne apna musical safar modern era kay hisaab se shuru kiya. Un hone folk kay behtareen andaaz ko pop beats, modern production aur multi-lingual lyrics kay saath ese jora kay woh unki pehchaan ban gaya.
Unhon ne apne music career ka aaghaz eik folk album sei kiya, lekin us album ka cover song “Ruseya Na Kar” un ki kamyabi ki bari wajah bana aur logon mein kafi maqbool howa. Is gaanay ko aab bhi kafi suna aur pasand bhi kiya jata hai aur un ka ye track aab tak 100M+ views hasil kar chuka hai. Un ka eik aur mashhoor tracks “Tere nal jeewa gy” bhi YouTube par 73M+ views hit kar chuka hai aur 5 saal baad bhi logon mein utna hi maqbool hai. Jo cheez unhein alag karti hai woh sirf un ki aawaz nahi balkay unkay fans hein. Un kay YouTube par millions views aur almost half million subscribers un kay music fans ka wazeh sabot hein. Tahir Abbas kay kaam ki maqbooliyat ki sbse bari wajah ye hai kay usmei diversity dekhi jati hai. Woh har tarah kay cultures se taluq rakhne wali community ko entertain krne ka hunar rakhte hein. Unhon ne Punjabi cultured music ko bhi revive kiya hai.
Un kay unique signature style, folk music, Punjabi zubaan aur modern production ne un ko young audience se bhi jor diya hai. Un kay mashhoor tracks mein “Ruseya Na Kar,” “Mann Meriya,” “Motorway” aur “Zindagi Mubarak” shamil hein. Sab se mutasir kun baat ye hai kay unhon ne haliya teen saalon mein 30 se ziada original tracks release kiye, jo unhon ne khud likhay aur compose kiye. Ye baat un ki music kay liye lagan ki akasi krti hai.
Tahir Abbas kay kayi gaane YouTube aur streaming platforms par millions views haasil kar chukay hain. Mazeed ye kay Pakistan kay sab se baray regional aur folk music platform Koyal par Tahir Abbas kay poranay aur new 100+ tracks moujood hein jahan un kay fans easily un ko stream kar saktay hein. Isse un ki reach na sirf Pakistan mein balkay globally bhi barh rahi hai. Agar apne abhi tak Tahir Abbas kay tracks nhi sunne tou abhi Koyal App download karein aur diye gaye link par click karein









