Blogs Koyal.pk
5 Jamadi-Ul-Awwal Wiladat-E-Sayyida Zaynab Bint-e-Ali (A.S.)

5 Jamadi-Ul-Awwal: Wiladat-E-Sayyida Zaynab Bint-e-Ali (A.S.) – Jashan Bhi, Paigham Bhi

Har saal 5 Jamadi al-Awwal ka din musalmanon kay liye na sirf mazhabi yaad ka din hai balkay eik roohani taazgi ka din bhi hai. Is din Ahl-e-Bait (A.S.) ki azeem shakhsiyat, Hazrat Zaynab bint-e-Ali (A.S.) ki wiladat hui. Un ki paidaish ne sirf Imam Ali (A.S.) aur Bibi Fatima Zahra (S.A.) kay ghar ko roshan nahi kiya, balkay puri ummat-e-Muslima ko ilm, sabar aur haya ka paigham diya. Hazrat Zaynab (A.S.) ki zindagi eik misaal hai jahan deen, ilm, aur insaniat eik saath zinda hoti nazar aati hai. Aaj bhi un ka paigham aur un ka sabar har us dil mein zinda hai jo zulm kay khilaf sach kay liye kharay hote hain. 

Hazrat Zaynab bint-e-Ali (A.S.) ki paidaish 5 Jamadi-ul-Awwal 5 Hijri mein Madina Munawwara mein hui. Aap Hazrat Ali ibn-e-Abi Talib (A.S.) aur walida Sayyida Fatima Zahra (S.A.) ki beti thein. Apne baray bhai Imam Hassan (A.S.) aur Imam Hussain (A.S.) ki tarah un ka naam bhi Nana Rasool Allah (S.A.W.) ne rakha.  Hazrat Zaynab (A.S.) ne bachpan Rasool (S.A.W.) kay ghar mein guzara. Unhon ne apni maa se haya aur sabar seekha, aur apne walid se ilm aur insaf ka paigham hasil kiya. Un ki taleem sirf zabani nahi thi, un ki zindagi kay har amal mein ilm, insaf aur emaan numaya nazar aata hai. Hazrat Zaynab (A.S.) ne apni taleem Madina kay ilmi mahol mein hasil ki. Unhein Quran ka ghera ilm tha, aur tafseer-e-Quran par un kay bayan loug sunte aur roohani sukoon hasil karte thay. Un ka nikkah Abdullah ibn-e-Ja’far (R.A.) se howa, jo Jafar-e-Tayyar (R.A.) kay farzand thay. Un kay ghar ka mahol ilm, sabar aur azmat ka eik markaz tha. 

Hazrat Zaynab (A.S.) ka naam jab bhi liya jata hai, tou Karbala ka manzar foran zehan mein ubhar aata hai. 61 Hijri mein jab Imam Hussain (A.S.) aur un kay ashaab ne Yazeed kay zulm kay khilaf qiyam kiya, to Zaynab (A.S.) bhi un kay saath rahien. Jab 10 Muharram kay din Ahl-e-Bait (A.S.) kay kai loug shaheed kar diye gaye, tou Bibi Zaynab (A.S.) ne khud qafila sambhala, aur un masoom bachon aur aurton ko himmat di. Karbala kay baad jab unhein Qaid karkay Kufa aur phir Shaam le jaya gaya, tou Bibi Zaynab (A.S.) ne Yazeed kay darbar mein wo khitab kiya jise tareekh ne hamesha kay liye likh liya. Un kay alfaaz ne zulm kay pahar ko hila diya aur sachai kay parcham ko buland kar diya. Un ka yeh sabar aur yaqeen Qayamat tak kay liye eik misaal ban gaya.

Kufa aur Shaam mein un kay bayanon ne haq aur batil ka farq wazeh kar diya. Un kay dars aur khitab ne logon kay zehno se khauf mita diya aur Ahl-e-Bait (A.S.) kay paigham ko zinda rakha. Isi wajah se unhein “The Queen of Karbala” kaha jata hai. Un ka kirdar un tamam aurton kay liye rahnuma hai jo mushkilat mein bhi apne emaan aur haq par qaim rehti hain. Har saal jab 5 Jamadi-ul-Awwal ko masajid, imambargah aur ghar mein mehfil-e-Zikr-e-Zaynab (A.S.)  aur manqabat ka intizam hota hai. Zikr-e-Zaynab (A.S.) sirf un ki wiladat ka jashan nahi, balkay ye yaad dilata hai kay haq aur sabar ka safar kabhi asaan nahi hota, lekin is ka anjaam hamesha izzat aur kamiyabi hoti hai.

Un ki yaad mein, music platform Koyal par khaas kalam “Salam Ya Zainab (A.S.)” Rashid Zaidi aur Shahid Baltistani ki aawaz mein moujood hai. Yeh kalam Zaynab (A.S.) ki shuja’at, sabar aur un ki shan ka paigham suron mein sameta howa hai. Aaj kay musalmanon kay liye Hazrat Zaynab (A.S.) ka paigham eik zinda misaal hai. Hazrat Zaynab bint-e-Ali (A.S.) ki zindagi eik misaal hai jo har daur kay liye relevant hai. Unka sabar, unka ilm, aur unki shuja’at aaj bhi insanon kay liye roohani taqat ka zariya hai. 5 Jamadi-ul-Awwal ka din un ki wiladat ka jashan hi nahi, balkay unkay paigham-e-sabr, paigham-e-haq, paigham-e-insaniyat ko yaad karne ka din hai. Koyal App par “Salam Ya Zainab” sunne kay liye Koyal App download karein aur diye gaye link par click karein.

Rashid Zaidi: https://koyal.pk/track/salam-zainab-a-s-75289 

Shahid Baltistani: https://koyal.pk/track/salam-ya-zainab-111292

Wania Siddiqui

I’m Wania Siddiqui, a passionate journalist with over a year of experience in the fast-paced world of News channels. I love uncovering important facts, sharing diverse perspectives, and bringing cognitive details to the public. I’m passionate about telling real-life ignored stances and provoking incidents that educate the society and bring richer details to audiences.

mainzeus slot mpo slot gacor jawaraliga slot gacor malam ini happy838 slot maxwin mainzeus slot777 slot qris