Blogs Koyal.pk
Dil Ko Chhu Jane Wala Kalam Meri Jholi Ko Bhar De Har Misray Mein Eik Dua, Har Lafz Mein Eik Umeed

Dil Ko Chhu Jane Wala Kalam “Meri Jholi Ko Bhar De” – Har Misray Mein Eik Dua, Har Lafz Mein Eik Umeed

Jummah kay din jab dil roohani sukoon aur ibadat kay jazbat se bhar jata hai, tou “Meri Jholi Ko Bhar De” jese kalam insaan kay andar eik sukoon paida kar dete hain. Yeh kalam sirf alfaaz ka majmua nahi, balkay eik ibadat, eik dua aur eik jazba hai, jo banda apne Rab se aur apne Nabi ﷺ kay wasile se mangta hai. Is kalam mein har misra eik iltija hai, eik ummeed hai aur eik yaqeen kay jab sab raaste band ho jayein, tou Allah kay rehmat kay darwazay Nabi-e-Kareem ﷺ kay sadqay khule rehte hain.

Meri Jholi Ko Bhar Dey Ay Khuda Sadqay Muhammad (Salla Llahu ‘Alayhi Wa Sallam) Kay
Gunahgaron Ka Bhi Kar Day Bhala Sadqay Muhammad ﷺ Kay

Yeh misra sirf eik dua nahi, balkay har us dil ki aawaz hai jo toota howa, thaka howa aur umeed se bhara hua bhi hai. Is kalam mein banda apni kamzori ka izhar karta hai lekin saath hi apne Rab ki rehmat aur Nabi ﷺ kay wasile par pura yaqeen bhi rakhta hai. Har banda apne dil mein janta hai kay woh khata ka paikar hai, magar jab woh apne gunahon ka aitraf Allah ka samne krta hai aur Allah se maafi talab krta hai tou uska dil halqa ho jaata hai. Is Kalam kay alfaaz eik gunahgar insaan ki dil se nikli hui sada hai jo Rab se maghfirat ki talab karta hai, aur janta hai kay Nabi ﷺ rehmat-ul-lil-alameen hain. Jummah kay din jab musalmaan duaon mein masroof hote hein tou yeh kalam un kay dil ka haal bayan karta hai. Har misra Allah se baat karne ka zariya lagta hai

Hamaray Haal Par Maula Karam Apna Sadaa Rakhna
Tu Hi Sheytaan Say Imaan Walon Ko Bachae Rakhna
Har Eik Tufaan Main Dey Aasra Sadqay Muhammad Kay

Yahan banda apne Maula se apne imaan ki hifazat mangta hai aur is duniya kay tufanon, fitnon aur gumrahi se panah chahta hai. Ye kalam insaan ko yaad dilata hai kay sab kuch fani hai, lekin imaan hi wo daulat hai jo sabse qeemti hai. Kalam ka teesra band un logon kay liye eik misaal hai jo zindagi kay imtihanon se guzar rahe hain:

Samajhti Hai Ye Dunya Apna Ham Iman Dey Dayn Gay
Magar Iman Ki Khaatir Ham Apni Jaan Dey Dayn Gay
Hamay Iss Aazmaish Say Bacha Sadqay Muhammad Kay

Ye misra sirf jazbati nahi, balkay eik ehad hai, eik wada hai kay musalmaan apna imaan kisi daulat, taqat ya duniya ki lalach kay badlay nahi chorein gei. Yeh kalam un shaheedon aur sachay mominon ki yaad taza karta hai jin logon ne apna imaan bachane kay liye aur deen-e-Islam ki khaatir apni jaan tak qurbaan kar di. Har jummah jab musalmaan dua kay liye hath uthata hai, tou kalam kay ye alfaaz dil ko roohani tor par jhunjhoor dete hain. Is misray mein eik bepanah umeed hai, eik jazba hai kay agar dua dil se ki jaye to aasman kay parday bhi jhuk jaate hain. 

Jahan Main Be-Saharon Ko Faqat Tera Sahara Hai
Nahi Hai Koi Bhi Apna Bas Eik Tu Hi Hamara Hai
Jo Bichhrhay Hein Unhein Tu Phir Mila Sadqay Muhammad Kay

Yeh misra un sab logon kay liye hai jo tanha hain, thakay howe hain, jinhein duniya ne chor diya, unkay liye yeh kalam tasalli aur umeed ka paighaam hai. Allah hi bas wohi wahid sahara hai jo be sahara logon ko sambhalta hai. Ye kalam har us dil ko pukarta hai jo kisi saharay ki talash mein hain. 

Ye Khubsurat Kalam “Meri Jholi Ko Bhar De” bhi Koyal App par maujood hai, eik esa kalam jo sirf suna nahi jaata, mehsoos kiya jaata hai. Koyal par yeh kalam us soulful collection ka hissa hai jo Jummah kay roz sun’nay walon ko roohani sukoon bakhshtay hain. Yehi wajah hai kay “Meri Jholi Ko Bhar De” jesa kalam Jummah kay roz sun’nay walay ko na sirf sukoon deta hai, balkay usay apne Rab kay qareeb kar deta hai. Is kalam mein insani jazbaat, shukar, aur umeed apni intiha par hain.

Koyal App par is waqt 10,000+ spiritual aur Sufi tracks moujood hain, jismein Hamd, Naat, Manqabat aur Nohay shamil hain. “Meri Jholi Ko Bhar De” inhi collection ka eik roshan kalam hai. Muhammad Arsalan Naqshbandi ki aawaz mein ye kalam Koyal App par moujood hai. Ye sirf eik kalam nahi, eik dua hai, wo dua jo har dil kay andar chhupi hai. 

Abhi Koyal App download karein, diye gaye link par click karein aur sunein yeh roohani kalam “Meri Jholi Ko Bhar De”

https://koyal.pk/track/meri-jholi-ko-bher-dy-75005 

Wania Siddiqui

I’m Wania Siddiqui, a passionate journalist with over a year of experience in the fast-paced world of News channels. I love uncovering important facts, sharing diverse perspectives, and bringing cognitive details to the public. I’m passionate about telling real-life ignored stances and provoking incidents that educate the society and bring richer details to audiences.

mainzeus slot mpo slot gacor jawaraliga slot gacor malam ini happy838 slot maxwin mainzeus slot777 slot qris