Blogs Koyal.pk
Ibadat Aur Mohabbat Sunain Kalam Meri Baat Ban Gayi Hai Teri Baat Karte Karte Koyal Par

Ibadat Aur Mohabbat – Sunain Kalam “Meri Baat Ban Gayi Hai Teri Baat Karte Karte” Koyal Par

Jummah ka din roohaniyat aur barakat ka din hai. Yeh din Musalmanon kay liye eik azeem tohfa hai jahan ibadat, dua aur zikar se dil o rooh ko sukoon milta hai. Har Jumma Allah kay zikar kay saath saath Rasool Allah ﷺ ki barai bayan krna aur Durood-e-Pak bhejna insaan kay iman ko aur mazboot karta hai aur Jummah kay din iska ajar azeem hai. Isi roohani safar ka hissa hai yeh mashhoor naat “Meri Baat Ban Gayi Hai Teri Baat Karte Karte” jiska har shair Musalmano ki khuwahish aur mohabbat kay paigham ko bayan jrti hai. Yeh naat sirf kalam nahi, balkay eik esi aarzu hai jo insaan kay jazbat ko aur Rasool ﷺ kay sath mohabbat ko behtareen alfaaz mein bayan karti hai.

Yeh naat sirf eik shairana izhar nahi balkay eik Kalam aur dua bhi hai. Is mein mohabbat, wafa, shukriya aur dua sab kuch samaya howa hai. Jummah kay roz jab Musalman ibadat aur zikar mein apna waqt guzarte hain, to yeh Naat un jazbat ka wazeh izhar hai jo har Musalman kay dil mein Rasool ﷺ kay liye moujood hain. Is Naat mein Mohabbat-e-Rasool ﷺ ka izhar har misray mein numayan hai. 

Tere Ishq ki Badaulat, Mujhe Zindagi Mili Hai
Mujhe Mout Aaqa Aaye, Tera Zikr Karte Karte

jese alfaaz insaan kay liye nayi zindagi ka paigham hain. Yeh misra is baat ki taraf ishara hai kay Rasool ﷺ ki mohabbat insaan ko roohani zindagi aur sukoon a’ata karti hai. Yeh eik esa jazba jo momin kay dil ki inteha bayan karta hai. Har Musalman yeh chahta hai kay woh apni zindagi kay aakhri lamhon tak zikr-e-Mustafa ﷺ mein masroof ho aur jab usse maut aae tou usko dedaar-e-Mustafa ﷺ Naseeb hojaye. 

Meri Baat Ban Gayi Hai Teri Baat Karte Karte
Tere Sheher Me Mai Aun, Teri Naat Padhte Padhte

Yeh eik esi tamanna hai jo momin kay dil mein Madina Sharif ki ziyarat ka jazba jagati hai. Yeh na sirf lafzon ka silsila hai balkay eik ibadat hai jo insaan ko Rasool ﷺ kay qurb mein ley jatay hain. Is Naat kay alfaaz mohabbat aur wafa se bhare howe hain. Har misra insaan kay roohani safar ka eik aaina hai.

Kisi Cheez Ki Talab hai, Na Hai Arzoo Bhi Hai Koi
Tu Ne Itna Bhar Diya Hai, Kashkoal Bharte Bharte

Yeh alfaaz shukriya ka izhar hain kay Allah Ta’ala aur Rasool ﷺ ki rehmat insaan kay dil aur zindagi ko bhar deti hai. Agar Allah aur uskay Rasool ka saath miljae tou koi khuwahish baki nhi rehti. Is Kalam ka har misra insaan kay dil ko ibadat aur zikar ki taraf le jata hai.

Nasir Ki Haazri Ho, Kabhi Aastan Pe Tere
Ke Zamana Ho Gaya Hai, Mujhe Aahen Bharte Bharte

Rasool ﷺ kay darbar mein hazri aur unki shafa’at eik esi aarzu hai jo har Musalman apne dil mein rakhta hai. Is Kalam kay andar woh jazbaat samaye howe hain jo insaan kay liye sirf roohani tasalli hi nahi, balkay duniya aur aakhirat dono mein rahmaton ka sabab bante hain. Jummah ko “Sayyidul Ayyam” yani dinon ka sardar (the Master of Days) kaha gaya hai. Is din ki roohani ehamiyat Musalmano kay liye baki dinon se bohot ziyada hai. Is din Allah ka zikar krnay aur Rasool ﷺ par durood-e-Paak bhejnay ka ajar bhi mazeed barh jata hai.

Aaj kay digital daur mein jab log Naat aur Kalam ko online suntay hain, Koyal App ne is khoobsurat Naat ko archive kar diya hai. Kalam “Meri Baat Ban Gayi Hai Teri Baat Karte Karte”  ko Koyal par mukhtalif aawazon mein suna ja sakta hai.  Jumma kay din, jab har Musalman dua aur ibadat mein masroof hota hai, tou yeh Naat apne andar woh roohani sukoon rakhti hai jo dil ki dharkanon ko nayi taazgi deti hai. Is kalam ka sabse khaas pehlu yeh hai kay yeh sirf eik Kalam nhi balkay eik dilli khuwahish hai. 

“Meri Baat Ban Gayi Hai Teri Baat Karte Karte”  mukhtalif Naat khuwan ki aawazon mein Koyal par moujood hai. Har aawaz is kalam ko apni khasiyat kay sath aur bhi asar angeez banati hain. Koyal App download karein aur mukhtalif Naat khuwaan ki aawaz mein yeh laazawal Naat sunne kay liye diye gaye link par click karein

Samar Mumtaz Musakhelvi: https://koyal.pk/track/meri-baat-ban-gai-hai-teri-baat-karte-karte-75605
Fakhruddin Qadri: https://koyal.pk/track/meri-baat-ban-gai-hai-86097
Jamal Mustafa: https://koyal.pk/track/mere-baat-ban-gaye-he-109560
Jawad Ahmad Naqshband: https://koyal.pk/track/meri-baat-ban-gai-hai-150722 

Wania Siddiqui

I’m Wania Siddiqui, a passionate journalist with over a year of experience in the fast-paced world of News channels. I love uncovering important facts, sharing diverse perspectives, and bringing cognitive details to the public. I’m passionate about telling real-life ignored stances and provoking incidents that educate the society and bring richer details to audiences.

mainzeus slot mpo slot gacor jawaraliga slot gacor malam ini happy838 slot maxwin mainzeus slot777 slot qris