Blogs Koyal.pk
6th September Defence Day

6th September – Defence Day

1965 Ki Jang Se Aaj Tak – Pakistan Ki Musalsal Imaan, Qurbani Aur Himmat Ki Dastaan

Har qaum ki tareekh mein kuch din aise hote hain jo uski pehchaan ban jaate hain. 6 September 1965, yeh tareekh Pakistan ki rooh mein hamesha kay liye naqsh hai. Yehi woh din hai jab dushman ne sarhadon par hamlah kiya, magar Pakistani fauj, awaam aur shaheedon ki qurbaniyon ne dushman kay iradon ko mitti mein mila diya. Har saal Defence Day humein yaad dilata hai kay watan ki hifazat sirf fauj ki nahi, balkay poori qaum ki zimmedari hai.

Isi jazbay ko zinda rakhne kay liye naghmay aur taraane bhi eik eham kirdar aada karte hain. Inhi taraanon mein se aik hai Asrar ka jazbati naghma “Main Pakistan Hoon” jo sirf sur aur saaz nahi, balkay eik jazba hai jo Defence Day ki rooh ko behtareen taur par samjhata hai. Is Naghmay ka har misra watan se wafadari, shaheedon ki qurbani aur mustaqbil ki umeed ko zinda karta hai:

“Main Pakistan Hoon, Main Zindabad Hoon” 

Ye alfaaz sirf kalam nahi, eik azam hai jo har shehri kay dil mein goonjta hai. Naghmay kay ash’ar Pakistan kay mukhtalif hisson aur tehreekon ka zikr karte hain. Unhone naghmay mein zikar kiya kay Pakistan ne hamesha mushkil halat ka samna kiya. Pakistan kay duniya mein dushman zyada hain, dost kam magar insab cheezon kay bawajood Pakistan apne qadam mazboot rakhta hai jo hmne May 2025 mein bhi dekha kay Pakistan nay India ko mun tor jawab diya jesa kay hmesha sei deta aaya hai.

Jab Asrar gaate hain:

“Main ummat ka salar hoon, Main ALLAH ka Asrar hoon

Mera haar fouji jawan, jaisay ho khari chataan”

Toh yeh alfaaz sirf eik shayar ka jazba nahi, balkay har jawan kay qadam, har shaheed kay khoon aur har maa ki duaon ki aawaaz ban jata hai. Asrar ka Naghma Defence Day kay paigham ko behtareen taur par samjhata hai. Ye Naghma humein sirf guzaray howe waqt ki yaad nahi dilata, balkay mustaqbil ki umeed bhi deta hai. Defence Day humein eik naya azam deta hai kay hum apne mulk ki hifazat karein, chahe hum sipahi hain, talib-e-ilm hain, kisan hain, ya mazdoor. Har shakhs ka kaam Pakistan ki buniyad ko mazboot karna hai. 

Kashif Hasni ka naghma “Mere Shaheedon” tamaam shauhada e Pakistan ko tribute paish krta hai. 6 September humein yaad dilata hai kay Pakistan sirf eik zameen ka tukra nahi, balkay un laakhon shaheedon ki qurbaniyon aur maon ki duaon ka nateeja hai. Music aksar qaumon ki soch aur jazbat ko badal deta hai. Jis tarah 1965 ki jang mein mili naghmay aur taraanay jawanon ka hosla barhate thay, waise hi Asrar ka ye naghma aaj kay naujawano ko himmat aur jazba deta hai.

Is Defence Day par hum shaheedon ko yaad karte hain aur ghazion ko salam pesh karte hain. Abhi Koyal App download karein aur diye gae link par click karein

Main Pakistan Hoon – Asrar
Mere Shaheedon – Kashif Hasni

Wania Siddiqui

I’m Wania Siddiqui, a passionate journalist with over a year of experience in the fast-paced world of News channels. I love uncovering important facts, sharing diverse perspectives, and bringing cognitive details to the public. I’m passionate about telling real-life ignored stances and provoking incidents that educate the society and bring richer details to audiences.

mainzeus slot mpo slot gacor jawaraliga slot gacor malam ini happy838 slot maxwin mainzeus slot777 slot qris