Blogs Koyal.pk
Ye Sab Tumhara Karam Hai Aaqa, Kay Baat Ab Tak Bani Hui Hai Alhaaj Khurshid Ahmed

Ye Sab Tumhara Karam Hai Aaqa ﷺ, Kay Baat Ab Tak Bani Hui Hai – Alhaaj Khurshid Ahmed

Rabi-ul-Awwal ka chand nikalte hi poori dunya-e-Islam mein khushi, roohaniyat aur mehfilon ka aaghaaz hota hai. Yeh woh mahina hai jisme Aaqa-e-Do Jahan, Rahmatul-lil-Alameen ﷺ ki paidaish hui. Har taraf Milad aur Durood O Salam ki Mehfilon ka aaghaz hojata hai.

Jab Naat Khuwahon ka zikar hota hai tou eik naam logon mein bohat maqbool hai, Alhaaj Khurshid Ahmed. Unki awaaz ki mithas, jazbati lehja aur kalam ki gehraai ne unhein Naat Khuwanon ki fehrist mein eik eham maqam diya hai. Sabse barh kar unki mashoor Naat “Ye Sab Tumhara Karam Hai Aaqa” aaj bhi masajid, mehfilon, schools aur media platforms par bohat ziada parhi aur suni jati hai. Yeh sirf eik kalam nahi balkay eik izhar hai jo Musalmanon kay dilon mein sukoon aur mohabbat bhar deta hai.

Alhaaj Khurshid Ahmed Pakistan kay un chand Naat Khuwanon mein se hain jin ka zikr hamesha izzat aur muhabbat kay saath kiya jata hai. Inhon ne apni Naat Khuwani kay zariye Quran-o-Sunnat ki taleemat ko ishq-e-Rasool ﷺ kay rang mein dhal kar logon tak pohunchaya. Isi wajah se unki Naat sirf Pakistan hi nahi, balkay duniya bhar mein Musalmanon kay liye noor aur rehmat ka zariya ban gayi.

Unki Naat “Ye Sab Tumhara Karam Hai Aaqa” kay asha’ar sirf lafzon ka majmua nahi, balkay eik roohani qissa hain. Ye naat asal mein shukar aada hai Rasool Allah ﷺ ki shafa’at ka, jo unkay ummatiyon kay liye sabse bara inaam hai.

Koi saliqa hai aarzo ka, Na bandagi meri bandagi hai

Ye sab tumhara karam hai Aaqa, Kay baat ab tak bani hui hai

Ye alfaz insaan ki apni ibadat ki kami ka izhar kartay hain. Humari bandagi us laayak hi nahi jo Nabi ﷺ ya Allah ki bargah mein pesh hon. Ye sirf Nabi ﷺ ka karam aur unki shafa’at hi hai jo hamari ibadat ko qeemat deti hain wrna uskay bagher hamari apni ibadat naqis aur adhoori hain.

Ata kiya mujh ko dard e ulfat, Kahan thi yeh pur khata ki qismat

Mohabbat-e-Rasool ﷺ ko eik inaam kaha gaya hai. Aaqa ﷺ ka karam hai kay hamein unki mohabbat naseeb hui, warna hamare a’amal kahan thei is inaam kay qabil. Is naat kay tamam Asha’ar mein Allah aur Rasool Allah ﷺ kay ummat par kiye gaye ehsaanat bayan kiye gae hein kay kis tarah Aaqa ﷺ ne hamein dunya ki tareeqiyon se nikala aur Zindagi guzarne kay saleeqa sikhaya.

Alhaaj Khurshid Ahmed ki naat ki fehrist bohot wasi hai. Unka har kalam dil ko roshan karta hai aur dil mein ishq-e-Rasool ﷺ ka chiraagh jalata hai. Unkay mashoor kalamon mein Balagal Ula Be Kamalihi, Zameen-o-Zaman Tumhare Liye, Khak Mujh Main Kamal Rakha Hai shamil hain. Unki mashhoor aur amar Naat Ye Sab Tumhara Karam Hai Aaqa hai. Yeh kalam sirf lafzon ka majmua nahi, balkay eik Musalman kay jazbaat ka nayaab izhar hai.

Alhaaj Khurshid Ahmed ka naam Naat Khuwani ki tareekh mein amar ho chuka hai. Unkay kalam hamesha Naat Khuwani ki mehfilon aur har Musalman kay dil mein zinda rahein gei. Abhi Koyal App download karein aur Alhaaj Khurshid Ahmed kay 40+ kalam sunne kay liye diye gaye link par click karein.

https://koyal.pk/artist/alhaaj-khurshid-ahmed-131 

Wania Siddiqui

I’m Wania Siddiqui, a passionate journalist with over a year of experience in the fast-paced world of News channels. I love uncovering important facts, sharing diverse perspectives, and bringing cognitive details to the public. I’m passionate about telling real-life ignored stances and provoking incidents that educate the society and bring richer details to audiences.

mainzeus slot mpo slot gacor jawaraliga slot gacor malam ini happy838 slot maxwin mainzeus slot777 slot qris