Blogs Koyal.pk
9 Rabi-Ul-Awwal Eid Al-Zahra Zulm Kay Nizaam Ka Khatma Aur Haq Ki Fatah Ka Din

9 Rabi-Ul-Awwal – Zulm Kay Nizaam Ka Khatma Aur Haq Ki Fatah Ka Din

Islami taqweem mein 9 Rabi-ul-Awwal ka din “Eid-e-Zahra” kehlata hai jo Ahl-e-Bayt kay chahne walon kay liye eik khaas maqam rakhta hai. Muharram-ul-Haram se le kar 9 Rabi-ul- Awwal tak, Musalmanon ka dil gham, aansoo aur aza mein dooba rehta hai. Karbala ki woh shahadaat, Imam Husain A.S. aur unkay ghar walon ka khoon, aur phir Ahl-e-Bayt A.S. ki qaid-o-masaib ki yaad har Ahl-e-Bayt se muhabbat krne walon kay liye intehai boojh aur dard ka sabab hai.

Eid-e-Zahra ka ta’alluq un waqiyat se hai jo Karbala kay baad Ahl-e-Bayt ne guzaare. 9 Rabi ul Awwal ko woh din samjha jata hai jab unkay dilon ko sukoon aur rahat hasil hui. Tareekh likhti hai kay yeh din Ahl-e-Bayt ki taraf se eik Khushi ka Din “Eid” tha jo shukar aur Allah ki rehmat ka izhar mein guzara gaya. In dinon mein Imam Husain A.S. ki shahadat kay sath doosray Imam, Imam Hasan Mujtaba A.S., Imam Zain-ul-Abideen A.S., Imam Hasan Askari A.S. aur tamam shauhada ko yaad karte hain. 

Riwayat mein aata hai kay Rasool-e-Khuda ﷺ eik dafa Imam Ali A.S., Imam Hasan A.S. aur Imam Husain A.S. kay sath baithe thay. Aap ﷺ ne muskurate howe farmaya:

“Yeh woh din hai jab Allah tumhare aur tumhare abao ajdad kay dushmanon ko halaak karein gei, aur Ahl-e-Bayt se mohabbat rakhne walon kay aamaal ko qubool karein gei.”

Is kay baad Mukhtar bin ‘Ubaydullah al-Thaqafi aur Ebrahim bin Malik al-Ashtar dusre logon kay saath Imam Hasan A.S. aur Ahl e Bait A.S. ki shahdat ka badla lene gae aur Karbala kay har eik Qatil ko phansi di. Unhone Umar ibn Sa’d (Yazid ki fauj kay commander-in-chief) aur Ubaydullah ibn Ziyad (Kufa mein Yazid kay Governor) ko griftar kiya aur unka sar Qalam kiya aur ye 9 Rabi-ul-awwal ka din tha jab in dono ka Sar Imam Sajjad A.S. ko Madina mein paish kiya gaya. Ye dekh kar unhone Allah ka Shukar aada kiya aur Ahl e Bait A.S. ko hiddayat di kay woh aab saray soug khatam krdein aur is din ko Khushi aur shukar aada kar kay manaein. Ye waqiyat is baat ko wazeh kartay hain kay Eid-e-Zahra ka taalluq sirf aza kay khatam hone se nahi, balkay zulm kay nizaam kay khatma aur haq ka parcham buland hone se hai. 

9 Rabi-ul-Awwal, woh din hai jo Ahl-e-Bayt A.S. sei Mohabbat krne walon kay liye khushi aur musarrat ka din hota hai. Yeh din na sirf aza kay silsile ka ikhtitam hai balkay eik naye daur ki shuruaat bhi hai. Is din ka eik khaas pehlu ye bhi hai kay is din 12th Imam, Imam Al-Hujjat ibn al Hasan al-Askari A.S. ne apna mansab sambhala aur is din unki imamat ka aaghaz howa. Is din musalman namaz, tilawat, Durood aur Salam kay zariye apna aqeeda aur mohabbat zahir karte hain. Kuch maqamat par majalis hoti hain jahan Eid-e-Zahra kay pegham ko samjhaya jata hai aur Quran-o-Hadees kay hawalay se is ki fazilat bayan ki jati hai.

Eid-e-Zahra ka pegham yeh hai kay zulm aur andheron kay baad roshni aur insaf ka din aata hai. Hadees mein bhi zikr hai kay yeh din woh hai jahan Allah Ta’ala Ahl-e-Bayt se muhabbat krne walon kay aamal qubool farmatay hain. Is liye mo’mineen is din sadqaat dete hain, ziarat aur ibadat men masroof rehte hein. Eid-e-Zahra (9 Rabi-ul-Awwal) Musalmanon kay liye gham kay silsile kay ikhtitam ka din hai aur haq ki fatah ka paigham hai. Yeh din mo’mineen ko yeh yaad dilata hai kay zulm ka daur chahe lamba ho, lekin haq ki roshni hamesha baqi rehti hai. 

Koyal App par aapko Eid-e-Zahra kay mauqay par na sirf Salam aur Durood ka collection milta hai, balkay mashoor Manqabat khuwan aur Naat khuwan ki aawazon ka eik anmol zakhira bhi moujood hai. Yeh platform roohaniyat, mohabbat aur ilm ko aap tak pohanchata hai. Abhi Koyal Aap download karein aur is din ki munasibat se Kalam sunne kay liye diye gae links par click karein.

Muskuraey Abid Eid E Zahra: https://koyal.pk/track/muskuraey-abid-eid-e-zahra-41182 

Eid E Zahra: https://koyal.pk/track/eid-e-zahra-140656 

Eid E Zahra S A Hai Sab Se Juda: https://koyal.pk/track/eid-e-zahra-s-a-hai-sab-se-juda-139575 

Wania Siddiqui

I’m Wania Siddiqui, a passionate journalist with over a year of experience in the fast-paced world of News channels. I love uncovering important facts, sharing diverse perspectives, and bringing cognitive details to the public. I’m passionate about telling real-life ignored stances and provoking incidents that educate the society and bring richer details to audiences.

mainzeus slot mpo slot gacor jawaraliga slot gacor malam ini happy838 slot maxwin mainzeus slot777 slot qris