Pakistan ki showbiz aur music industry ka eik chamakta howa naam Humaira Arshad, jo apni singing ki wajah se jani jati hain. Lekin unki aawaz ka eik aur pehlu unki roohaniyat se bhari aawaz hai. Humaira Arshad ki aawaz mein “Ya Mustafa Ya Mustafa ﷺ” jesi dil ko chhu lene wali Naat sunne walon kay liye eik roohani safar ban gaya.
“Ya Mustafa Ya Mustafa ﷺ” un kalamon mein se hai jo sirf alfaaz ka majmua nahi, balkay ishq-e-Rasool ﷺ ka izhaar hai. Jab yeh Naat Humaira Arshad ki aawaz mein goonjti hai tou sunne walon kay dil-o-dimag ki gehraiyon tak utar jaati hai. Humaira Arshad ki aawaz mein eik khaas narmi aur jazbati rang hai jo unhein dusre naat khuwanon se alag banata hai. Unka lehja na sirf kalam ko samajhne mein asaan banata hai, balkay dil ko bhi sukoon deta hai. Unka yeh andaaz bayan karta hai kay eik artist jab apne talent ko ishq-e-Rasool ﷺ kay liye waqf kar deta hai, tou uska asar mazeed barh jata hai.
Rabi-ul-Awwal ka mahina aata hai tou mehfil-e-Milad aur jashan-e-Seerat-un-Nabi ﷺ mein “Ya Mustafa Ya Mustafa ﷺ” ki goonj aur bhi zyada barh jati hai. Har jagah Durood-o-Salam ki sadaein buland hojati hain aur sab is naat ko apne jazbaat ka izhaar banate hain. Pakistan aur duniya bhar mein Mehfil-e-Milad aur Rabi-ul-Awwal ki mehfilon mein is tarah ki Naat sunna aur parhna eik riwayat hai. Humaira Arshad ki yehi Naat aksar mehfil ki rooh ban jaati hai. Is Naat kay alfaaz sirf Qasida nahi balkay ishq-e-Rasool ﷺ ka eik dil se nikla howa izhaar hain.
Kalam kay alfaaz kuch yun hai:
Khalaq deti hai Duhae Mustafa Ya Mustafa
Qalab se ab ho Rehae Mustafa Ya Mustafa
Yeh alfaaz is baat ka saboot hain kay insaaniyat Nabi Kareem ﷺ ki rehmat ki talib hai. Zamanay kay imtehaan aur gardishon kay bawajood, sirf Rasool ﷺ ka zikr aur unki shafa’at ko kamiyabi ka zariya qarar diya gaya hai.
Or kis ke Dar pe Jain Tujh se jab wabasta hain
Deen o Dunya ki bhalai Mustafa Ya Mustafa
Yeh misray insaan kay us jazbay ko bayan krte hain jo kehta hai kay Nabi ﷺ kay dar kay siwa koi aur panah nahi, aur unhi kay zariye Deen-o-Dunya dono ki kamiyabi mumkin hai.
“Ya Mustafa Ya Mustafa ﷺ” bhi ab Koyal par moujood hai jahan aap Humaira Arshad kay andaaz mein is roohani kalam ko sun sakte hain. Iskay ilawah bhi dosray Naat khuwanon ki renditions asaani se sun sakte hain. Abhi Koyal App download karein aur Humaira Arshad ki aawaz mein “Ya Mustafa Ya Mustafa ﷺ”sunne kay liye diye gaye link par click karein.









