Jashn-e-Azadi ka mahina aate hi dil mein jazbaat ka tufan barh jata hai. Har taraf sabz hilali parcham lehraata hai, galiyon mein milli naghme bajte hain, aur purani yaadein taaza hoti hain. Ese hi moqa par eik naghma phir se logon kay dil jeet raha hai “Maon Ki Dua”, jo Junaid Jamshed aur Alamgir ki pur-asar awaazon mein eik shanakht ban kar ubhra hai. Yeh naghma Atique ur Rehman ne likha hai, jo kisi bhi Pakistani kay liye sirf naghma nahi, eik jazba, eik dua, aur eik paighaam hai.
“Maaon Ki Dua, poori hui, aur hummein ghar mil gaya…”
Yeh alfaaz sirf kisi naghmay ka hisa nahi, balkay woh sacchai hai jo har Pakistani kay dil mein mehsoos hoti hai. Pakistan kisi eik fauj ya siyasi tanzim ka nahi tha. Yeh maaon ki duaon, bacchon ki qurbaniyon, jawanon kay lahuu aur buzurgon ki umeed ka nateeja tha.
Is naghmay ko Atique Ur Rehman ne bohat pyare andaaz mein likha hai lekin is naghmay ko jo rooh aur taqat mili hai, woh Junaid Jamshed aur Alamgir ki awaazon ka nateeja hai. Junaid Jamshed, jo pehle pop music ka hissa rahay aur baad mein deen ki taraf rujoo kiya, unki awaaz mein eik narmi, eik roohani touch hai jo dil ko chuu jata hai. Alamgir, jinhon ne Pakistani pop ka aaghaz kiya, unka jazba aur himmat is geet mein saaf mehsoos hoti hai.
Is naghmay ko likhne wale shayar Atique ur Rehman ne sirf lafzon ka jaal nahi buna, unhon ne qaumi rooh ko kalam mein dhal diya hai. Unka likha har misra kisi maa ki dua jesa mehsoos hota hai. Naghmay ka pegham ye hai kay
“Waqt pade to iski khatir
har dukh seh leinge,
jaan labon par aa jaaye toh
phir bhi keh deinge.
hum aan,hum shaan,
hum iski jaan hain,hum Pakistan hain”.
Woh khuwab jo Iqbal ne dekha tha aur jisay Quaid-e-Azam ne haqiqat mein tabdeel kiya ye sirf tareekhi yaad nahi. Ye misra hmei pegham deta hai kay hum un khuwabon ko bhool na jaein jin kay liye itni qurbanian di gayin. Yeh woh himmat hai jo har Pakistani mein honi chahiye kay jb bhi Pakistan ko hmari zarort parei gi tou hum har qurbani dene kay liye tayar hein.
Jashn-e-Azadi kay is moqay par Koyal App ne is geet ko eik roohani aur jazbaati tribute kay taur par apne platform par pesh kiya hai. “Maon Ki Dua” jese naghmay sirf music nahi, balkay eik qaumi yaad ban jaate hain. Koyal App par aap yeh Naghma sun sakte hain, share kar sakte hain, aur naye nasl ko us dua se roshan kar sakte hain jo maaon ne mangi thi jiski badolat hmei “itni pyaari duniya mein ghar mil gaya.”
Tou is Azadi kay moqa par, maaon ki dua yaad rakhein, Allah ka shukr aada karein
Sirf Koyal App par suniye Junaid Jamshed aur Alamgir ka yeh naghma-e-watan – Maaon Ki Dua.
Download the Koyal App and click the link below.









