Sufi buzurg aur Sindh kay sufi shayar Hazrat Shah Abdul Latif Bhittai ka 282nd Urs ka Bhit Shah, Matiari district mein unkay mazar par aaghaz hogya hai. Shah Abdul Lateef Bhittai kay teen rozah salana urs har sal 14 safar se Bhit Shah mein unki aakhri aaram gah par hota hai. Har sal 500,000 zaaireen urs mein shirkat krte hein.
Shah Abdul Latif Bhittai ka asal naam Shah Abdul Latif tha. Woh 1689 mein Hyderabad kay qareeb Hala Haveli village mein paida howe. Unhon ne Islam, tasawwuf aur mukhtalif zubanon ka gehra mutala kiya. Unka shumaar Sufi Aalim aur Sindhi language kay azeem shayaroon mein hota hai. Unhon ne apni zindagi ka aksar hissa ibadat, shayari, aur safar mein guzara. Unka har shayar Allah kay saath ishq, sabr, tawakul aur faqeeri ka dars deta hai. Unka lehja naram, magar gehra tha jo unhein aam sha’ir se alag, eik buzurg aur rehnuma banata hai. Unka mazhabi aur aadbi asar na sirf Sindhi zaban mein mehsoos hota hai, balkay Urdu, Punjabi aur Farsi zubanon tak bhi phaila howa hai. Unkay kalam mein Sindh ki tahzeeb, Ishq-e-Haqiqi, aur insaniyat ka paighaam is tarah basa howa hai kay har daur mein unki awaz naye andaaz se goonjti rahi hai.
Shah Abdul Latif Bhittai ka sab se bara aadbi kaam “Shah Jo Risalo” hai, jo Sindhi zuban ka eik laa-misaal roohani aur adabi masterpiece hai. Unka ye risala dard, wafadari, sabr, aur roohani raah mein aye imtihanon ki misaal hai. Shah Latif ki nazar mein sachha aashiq woh hai jo har halat mein apne Rab se wafa karta hai. Unki shayari ki theme mein bhi ishq-e-Haqiqi, ishq-e-Rasool, mazhabi rawadari aur insani iqdar shamil hote thei. Unki zindagi ka markazi pegham Ishq-e-Ilahi tha. Woh apni calligraphy aur hand written skills ki wajah se bhi Janay jate thei. Unhone Quran Paak kay kai nuskhay banae.
Shah Abdul Latif Bhittai ki wafa’at 1st January, 1752 (14 Safar 1165Hijri) mei hui. Unka mazar Bhit Shah mein hai, jahan har saal 14 Safar ko unka Urs manaya jata hai. Har saal mulk kay tamaam hissoon se 500,000 zaaireein urs mein shirkat aur khusoosi dua kay liye Bhit Shah ka safar krte hein. Ye Urs sirf eik roohani tajurba nahi, balkay Pakistan ki saqaafat, sufiyana music aur qadeem tehzeeb ka naya jashan ban chuka hai jo mukhtalif background kay logo ko mutahhid krta hai.
Aaj ki digital duniya mein bhi Shah Abdul Latif Bhittai ka paigham zinda hai. Koyal App, Pakistan ka roohani aur saqaafati music platform par Shah Abdul Latif Bhittai ko khiraaj-e-aqeedat pesh karte howe kai kalam, qawwaliyat aur manqabat moujood hain, jo unki soch aur roohaniyat ka ta’aruf nayi nasal se karwati hain aur Sindhi saqafat ko mehfooz kar rhi hein. Yeh woh digital zariya hai jahan Bhittai ka paigham musalsal zinda hai.
Koyal App is din par Shah Abdul Latif Bhittai kay legendary memories aur unkay kaamoon ki yaad tazah krne kay liye Abida Parveen kay rendition Kalam, Khushbu Laghari aur degar artists kay bnaye gaye kalam kay zariye unko tribute paish krta hai. Sirf Koyal App par suniye woh kalam jo Shah Abdul Lateef ko khiraj e aqeedat paish krte hein. Abhi Koyal App download karein aur diye gae links par click karein
Naaly Ghari Jaye Bero Tar Munhinjo – https://koyal.pk/track/naaly-ghari-jaye-bero-tar-munhinjo-107876
Bit Ja Bhitai – https://koyal.pk/track/bit-ja-bhitai-102458
Shah Abdul Latif Bhittai – https://koyal.pk/track/shah-abdul-latif-bhittai-154942
Sacha Saeen – https://koyal.pk/track/hazrat-shah-abdul-lateef-bhitai-78053









