Blogs Koyal.pk
20 Muharram 20 Hijri Woh Din Jab Pehle Muazzin-e-Islam, Hazrat Bilal (R.A.) Dunya se Parda Farmagae

20 Muharram 20 Hijri: Woh Din Jab Pehle Muazzin-e-Islam, Hazrat Bilal (R.A.) Dunya se Parda Farmagae

20 Muharram-ul-Haram 20 Hijri, woh pur asar din jab Islam kay pehle muazzin, Hazrat Bilal Habshi (R.A.) dunya sei rukhsat howe. Yeh woh azmat wala naam hai jinka zikr har Azaan, har namaaz aur har mohabbat bhare dil mein hmesha goonjta hai. Hazrat Bilal (R.A.) sirf muazzin nahi, Rasool Allah ﷺ kay wafadar ghulaam aur Islam ki pehli saf ka woh sitara thei, jinhone zulm bardasht karte howe bhi tauheed ka parchum buland rakha.

Jese jese Madina mein Islamic Community mein izafah hota gaya, logon ko Namaz ki taraf bulane kay liye eik tariqay ki zarort pesh ai. Rasool Allah ﷺ ne Hazrat Bilal (R.A.) ko unki melodious aur powerful voice ki wajah se pehla Muazzin muntakhib kiya. Hazrat Bilal (R.A.) ki aawaz Madina ki galiyon mein gonjti aur Musalmano ko din mein 5 waqt ki Namaz ki dawat deti thi. Hazrat Bilal (R.A.) ki Azaan sirf aawaaz nahi thi, woh eik esi sadaa thi jo arsh tak phonchti thi. Jab unki awaaz mein “Allahu Akbar” goonjta, tou Madina ka har kona roshan ho jaata. Rasool Allah ﷺ kay dunya se rukhsat hone kay baad Hazrat Bilal (R.A.) ne Azaan dena chor di, kyun kay har kalma unko Nabi-e-Kareem ﷺ ki yaad dilata tha. 

Eik Roz Hazrat Umar Bin Khattab (R.A.) kay dour-e-Khilafat mei jab woh Shaam gae tou logo ne Hazrat Umar (R.A.) se darkhuwast ki kay woh Hazrat Bilal (R.A.) ko inkay liye eik Azaan dene par amadah karein. Jab Namaz ka waqt howa tou Hazrat Umar (R.A.) ne Hazrat Bilal (R.A.) ko darpesh kiya aur Azaan dene ki darkhuwast ki jese kay woh Rasool Allah ﷺ kay Sunehray Dour mei diya krte thei. 

Bilal (R.A.)! Utho, Aur Azaan Do!

Jab Hazrat Bilal (R.A.) Azaan dei rhe thei tou tamaam Musalman Bachoon ki tarah roone lgei. Isi mouqay par, Kalam “Bhar do jholi meri Ya Muhammad” ka band, 

“Aashiq e Mustafa ki aza(n) mai
Allah Allah kitna asar tha
Arsh wale bhi suntay thay jisko
Kya aza(n) thi azaan e Bilali”

Dil ko chhu jaata hai. Yeh misray sirf jumlay nahi balkay woh jazba hai jo Musalmano ko yaad dilata hai kay eik ghulaam ki Rasool Allah ﷺ se mohabbat ko. Hazrat Bilal (R.A.) kay eman or Rasool Allah ﷺ se wafadari ne aap ko Sahabah karam mein eik khaas maqam ata kiya.

Aur jab Kalam ka yeh hissa 

“Sacha ye waqia hai azan e Bilal ka
Ik din Rasool e paak se logo ne yun kaha…”

Aata hai jismei asal waqiya bayaan kiya gaya hai tou yeh sirf manzoom kahani nahi, balkay Haqeeqat ka woh paighaam hai jo yeh sabit karta hai Allah ko apne Nabi kay aashiqon se kitna pyaar hai. Hazrat Bilal (R.A.) 20 Muharram 20 Hijri ko Dunya se rukhsat howe. Unka safar, unki azaan, unki wafadari aaj bhi har dil mein zinda hai. Koyal App par unki shaan mein kalam moujood hain jo Hazrat Bilal (R.A.) ki Azaan aur Allah aur Rasool Allah ﷺ se unki bepanah mohabbat ko mehsoos karwata hai.

Abhi Koyal App download karein aur sunain Azaan-e-Bilal Ki Dastaan jo is kalam mei bayaan ki gai hai:

https://koyal.pk/track/bhar-do-jholi-59350 

Wania Siddiqui

I’m Wania Siddiqui, a passionate journalist with over a year of experience in the fast-paced world of News channels. I love uncovering important facts, sharing diverse perspectives, and bringing cognitive details to the public. I’m passionate about telling real-life ignored stances and provoking incidents that educate the society and bring richer details to audiences.

mainzeus slot mpo slot gacor jawaraliga slot gacor malam ini happy838 slot maxwin mainzeus slot777 slot qris