Aaj har musalman ka dil Kaaba ki taraf raqam hai, jahan Ghusl-e-Kaaba ka paak o roohani manzar dekh kar duniya bhar ke mo’mineen ki aankhein nam hain. Har saal 15 Mauharram ko Ghusl-e-Kaaba ki sunnat ada ki jati hai aur kal eik baar phir yeh roohani tajalli ka manzar dekhnay ko mila jab Masjid al-Haram ke andar Khanah-e-Kaaba ko ghusl diya gaya.
Yeh paak amal, jo Rasool Allah ﷺ ke daur se jura howa hai. Har saal Muslim duniya kay Aa’la Hukaam, Mazhabi Scholars, aur Muazzine, Taif Kay hath sey toray gae Gulaab sey Tayar krda 540ml arq-e-gulaab, Chandni kay doo bartan mei 40 litre Aab-e-Zamzam, 24ml Taif Rose oil, 24ml Oud oil, aur 3ml Musk sey tayar krda Khushbudaar mixture sey Kabay ki androni dewaar, ceilings, Farsh, aur Darwazay ko Ghusl dete hein. Riwayaat kay mutabiq ye amal dono muqaddas Masajid kay Custodian ya representative ki Rehnumai mei kiya jata hai.
Isha’a ki namaaz kay baad Baitullah kay darwazay ka parhdah uthadia jata hai aur Namaz-e-Fajr kay baad Kaaba Shareef ko ghusl diya jata hai. Yeh taqreeban saal mein doo bar hoti hai, eik bar Ramzan sey pehle aur phir 15 Muharram ko. Jab yeh manzar social media aur news channels par nazar aaya, tou eik baar phir mo’min dilon mein wohi jazba jag gaya jo mashhoor Naat “Kaabay Ki Ronak, Kaabay Ka Manzar” mein izhar kiya gaya hai.
Kaabe ki ronak Kaabe ka manzar
Allahu Akbar Allahu Akbar
Dekhu to dekhe jau barabar
Allahu Akbar Allahu Akbar
Naat kay ye alfaaz Ghusl-e-Kaaba kay manzar ki akasi krte hain. Jab Kaaba ko ghusl diya ja raha hota hai, tou na sirf iski deewarain chamak uthti hain, balkay mo’mineen kay dil bhi roohaniat sey roshan ho jatay hain. Har baar jab yeh Naat Koyal App ya masjidon mein sunayi deti hai, tou dil sey yehi dua nikalti hai Allah humein bhi eik baar Kaaba ki ziarat naseeb farmaaye, jahan hum bhi yeh paak manzar dekhein aur apni aankhon se “Kaabay ki ronak” mehsoos karein. Kalaam “Kaaba Dikha De Mola” inhi jazbaat ki akasi hai.
Koyal App Par Sunain Roohani Kalaam Mukhtalif Naat khuwan ki awaazo mei. Abhi Koyal App download Karein aur diye gae link par click karein.
Kaabay Ki Ronaq
Syed Fahad Wahid Ali: https://koyal.pk/track/kaabay-ki-ronaq-39947
Hafiz Muhammad Shahmeer Ali Attari: https://koyal.pk/artist/hafiz-muhammad-shahmeer-ali-attari-21406
Kaaba Dikha De Mola
Baber Raza Qadri: https://koyal.pk/track/kaaba-dikha-de-mola-157129









