Blogs Koyal.pk
Karbala Ki Tareekh Mein 7 aur 8 Muharram

Karbala Ki Tareekh Mein 7 aur 8 Muharram – Pyaas, Sabr Aur Wafa Ki Misaal

Muharram ka har din Karbala kay waqiyaat ki yaad dilata hai, lekin 7th aur 8th Muharram-ul-Haram woh din hain jo Imam Hussain (A.S.) aur unkay wafadar ashaab ki azmat ko aur bhi roshan karte hain. Karbala ka manzar, Imam Hussain (A.S.) aur unkay wafadar saathiyon ki qurbani, aur zulm kay khilaf sabr aur haq par qayam rehne ka dars is din se aur bhi gehra jura hua hai. Har saal yeh din gham ka gehra izhar le kar aate hain, jahan duniya bhar kay Musalman alug alug tareeqo kay zariye aur kuch Noha Khuwani, Marsiya aur Manqabat parh kr apna dard aur aqeedat bayaan karte hain.

7 Muharram 61 Hijri ko Umar Ibn-e-Saad kay hukm par Yazeedi Lashkar ne Imam Hussain (A.S.) aur unkay ghar walon par Nehr-e-Furaat ka paani band kar diya. Yeh wo waqt tha jab azmaishon ka aaghaz hua. Bibi Sakina (S.A.), chhote bachay, aur Imam Hussain (A.S.) kay saathiyon ne pyaas mein din aur raat guzaari.

8 Muharram Imam Hussain (A.S.) aur unkay ashaab kay liye gham ka intehai gehra din tha. Pyaas ka zulm barh chuka tha. Yeh din esi tayyariyon ka din tha jo shahadat kay liye hoti hain, jahan har saathi ne Imam se ijazat le kar apni qurbani ki niyat zahir ki. Yeh din humein yaad dilata hai kay Karbala eik esi jang thi, jahan pyaas thi, lekin jazba bhi tha, jahan zulm tha, lekin haqq ki takmeel bhi thi. Har saal indinon mei aashiqaan-e-Imam Hussain (A.S.) apne apne tareeqo sei gham aur jazbaat ka izhaar karte hain.

Yeh din sirf eik tazkara nahi, balkay har aashiq-e-Hussain kay liye rooh ka zakham hai. Nohay, Naat, Marsiye aur Manqabat is waqiye ko is tarah bayaan karte hain kay har sunne wala rone par majboor ho jata hai. 7 aur 8 Muharram, Karbala ki us khaamoshi ka zikr hain jahan dard bolta tha. Har aansoo, har sada, aur har noha Karbala ka paighaam hai. Yeh eik esa waqiya hai jo qayamat tak logon kay dilon mein zinda rahega.

Is waqiye ka roohani aur jazbaati manzar ko “Mujh Pe Kyun Bnd Karte Ho Pani, Kya Muhammad Ka Pyara Nahin Hoon” jese Nohay mein bepanah dard kay saath bayaan kiya gaya hai. Yeh Noha sirf alfaaz ka majmua nahi, balkay woh dastan-e-Karbala hai jahan paani roka gaya, lekin sabr aur isteqamat ka darya behta raha. 

Koyal par aap mukhtalif Noha Khuwaanon aur Naat khuwaanon kay Nohay, Naat aur Manqabat stream aur download kar saktay hain. sAbhi Koyal app download karein aur diye gae link pr click karein.

https://koyal.pk/track/kya-muhammad-ka-pyara-nahin-hoon-7607

Wania Siddiqui

I’m Wania Siddiqui, a passionate journalist with over a year of experience in the fast-paced world of News channels. I love uncovering important facts, sharing diverse perspectives, and bringing cognitive details to the public. I’m passionate about telling real-life ignored stances and provoking incidents that educate the society and bring richer details to audiences.

mainzeus slot mpo slot gacor jawaraliga slot gacor malam ini happy838 slot maxwin mainzeus slot777 slot qris