Islam mein Ahle Bait ki muhabbat aur un par durood bhejna eik azeem ibadat hai. Durood-e-Ahle Bait sirf eik dua nahi, balkay eik roohani silsila hai jo Musalmanon ko Rasool Allah ﷺ aur unki paak Aal (A.S.) se jorne ka zariya banta hai. Har daur ka mo’min apne jazbaat, mohabbat aur aqeedat ka izhar isi zariye se karta hai.
Durood-e-Ahle Bait ka taluq us paak silsile se hai jo Rasool Allah ﷺ kay ghar walon Hazrat Fatima Zahra (A.S.), Hazrat Ali (A.S.), Imam Hasan (A.S.) aur Imam Hussain (A.S.) par salam bhejnay se jurta hai. Ahle Bait (A.S.) ki muhabbat har mo’min kay dil ka jazba hai. Jab insaan Rasool Allah ﷺ aur unki paak Aal (A.S.) par salam bhejta hai, tou woh na sirf ibadat mein masroof hota hai, balkay apni rooh ko eik ese raushan safar mein daakhil karta hai jahan sabr, adab aur aqeedat kay chiraagh jalte hain.
Hazrat Ali Ibn-e-Abi Talib (A.S.) se riwayat hai kay Hazrat Muhammad Mustafa ﷺ ne Hazrat Hasan aur Hazrat Hussain (A.S.) ka haath pakra aur farmaya:
“Jo mujh se muhabbat karay, aur in dono se, aur in dono kay baap aur in dono ki maa se muhabbat karay, tou woh Qayamat kay din mere saath mere darja mein hoga.” (-Tirmidhi 3733)
Har Musalman kay liye Ahle Bait (A.S.) se mohabbat emaan ka hissah hai, aur Durood us mohabbat ka behtareen izhaar hai. Is durood ki tilawat na sirf dil ko sukoon deti hai, balkay roohani tor par insaan ko pakeezgi aur barkaat ki taraf le jaati hai. Koyal par mukhtalif Quraa aur Naat Khuwanon ki awaazon mein Durood-e-Ahle Bait moujood hai, jo aapko eik roohani safar par le jaata hai. Yeh platform sirf music ka hi nahi, balkay Islami content ka bhi eik bara digital platform hai jahan Naat, Manqabat, Nohay aur Tilawat ki wide variety moujood hai.
Chahe aap Safar mein hon, ghar mein, ya ibadat kay waqt Koyal par aap sun skte hein mukhtalif Quraa aur Naat Khuwan ko. Agar aap bhi apne dil ko roohani taskeen dena chahte hain, tou abhi Koyal App download karein aur Durood-e-Ahle Bait sunne kay liye diye gae link par click karein.
Faiza Kamran: https://koyal.pk/track/durood-e-ahle-bait-28289
Mohammad Fahad Farooqui: https://koyal.pk/track/durood-e-ahle-bait-20546
Abuzar Hassan: https://koyal.pk/track/durood-e-ahle-bait-31484
Jaweria Saleem: https://koyal.pk/track/durood-e-ahle-bait-142828









