Kuch naghmay waqt ki hadon ko tor kar hamesha kay liye dilon mein bas jaate hain. “Ye Watan Tumhara Hai” Mehdi Hasan ki rooh ko chhu lene wali aawaz mein gaya gaya yeh milli naghma, aaj bhi Pakistan kay har shehri kay liye fakhar, mohabbat, aur wafadari ka paigham hai. Is naghmay ne na sirf eik nasal ko inspire kiya, balkay har daur kay jawan, buzurg aur bachon kay dilon mein jazba-e-watan ko taza kiya.
Is naghmay ko Mehdi Hasan Sahab ne us waqt bnaya jis waqt mulk ko naye sapnon aur umeedon ka samna tha aur mulk mukhtalif qisam kay masail se guzar raha tha. Ye naghma October 1978 ko release kiya gaya tha. Mehdi Hasan ki aawaaz ne jaise awaam kay zehan mein yeh baat mohr krdi: “Ye Watan Tumhara Hai, Tum Ho Pasban Is Ke”. Mehdi Hasan ka ye naghma sbkay dilo mein eik watan se muhabbat ko jazbay ko jagata hai aur nai nasal ko inspire krta hai kay ye watan tumhara hai aur iska khayal aur is mulk ka naam roshan krna aap tumhara zimedari hai.
Mehdi Hasan, Shehenshah-e-Ghazal, ko zyada tar log unki ghazalon ki wajah se jaante hain, magar jab unhone milli naghma gaya tou unki awaaz ka eik naya rang samne aaya, esa rang jo sirf dil ko nahi, rooh ko bhi hila deta hai. “Ye Watan Tumhara Hai” ka har misra Mehdi Hasan ki awaaz mein eik dua aur eik amanat ban kar samne aata hai. Is mein sirf sur nahi, balkay qurbaniyon ki khushboo, shahadat ka rang, maa ki duaon ki narmi, aur watan ki mitti ki mohabbat mehsoos hoti hai.
Naghmay ka pehla misra hi jese eik zimmedari ka ehsaas jagata hai:
“Ye Watan Tumhara Hai, Tum Ho Pasban Is Ke”
Yeh sirf eik jumla nahi, balkay eik ehad hai jo Mehdi Hasan har sunne wale se lete hain. Alfaaz ese jese dil ki gehraiyon mein utar kar awaaz ban gaye hon.
“Is chaman ke phoolon par rang o aab tum se hai”
Naghmay kay ye alfaaz jese har jawan ko yeh yaqeen dilata hai kay is zameen ka har rang, har roshni, tumhari mehnat aur wafadari se roshan hai aur ye tumhara buzurgoon ki amanat hai aur tumne is amanat ka khayal rakhna hai. Naghmay ka woh hissa jahan kaha gaya:
“Is zameen ki matti mein khoon hai shaheedon ka”
sun kar har Pakistani ka sar fakhar se buland ho jata hai. Yeh alfaaz sirf poetry nahi, balkay aik yaad dihani hai kay humari azaadi kisi tohfay kay tor par nahi mili, balkay laakhon jaanon ki qurbani kay badle aayi. Isliye hmein iski har mumkin hifazat krni hai aur har jaan o maal ki qurbani kay liye har waqt tayar rehna hai kay yeh zameen sirf humara ghar nahi, balkay humari pehchaan, humara mustaqbil hai.
Naghmay kay akhir mein jab Mehdi Hasan gaate hain:
“Is watan ke parcham ko sar buland hi rakhna”
yeh sirf eik mashwara nahi, balkay eik hukm hai jo har daur kay liye hai aur is zimedari ka ehsas deta hai kay waqt chahay jesa bhi ho, parcham kabhi neeche na jaye. Mehdi Hasan kay is naghmay ka alfaz aur sur jaise humein hila kar kehte hain umeed mat chhoro, watan ka saath mat chhoro. Har school ki assembly mein, har 14 August kay jashan mein, har cricket match kay jazbaati lamhe mein yeh naghma bajta hai, aur poora hall, poora stadium goonj uthta hai. Taqriban 50 saal guzarnay kay baad bhi yeh naghma iss liye zinda hai kyun kay yeh sirf suron ka majmua nahi, balkay eik esa paigham hai jo har daur mein relevant rehta hai. Waqt badal sakta hai, log badal sakte hain, lekin watan se mohabbat ka jazba kabhi purana nahi hota. Mehdi Hasan ne jo ehsaas apni aawaz mein daala, woh aaj bhi dilon mein wohi asar karta hai jo pehli dafaa sunte waqat logon ko howa.
Ab jab duniya digital platforms par chal rahi hai, tou “Ye Watan Tumhara Hai” ne bhi apni jagah banai hui hai. Koyal App jese platforms par yeh naghma sunte hi log wapis puranay Pakistan kay us daur mein chale jatay hain, jab mohabbat aur wafadari kay naghmay har dil ki zarurat thay. Koyal App, Pakistan ka pehla regional music platform, par ye timeless naghma 4th number par trend kr rha hai. Agar aapne Mehdi Hasan ka yeh amar naghma abhi tak nahi suna, tou Koyal App per jaiye aur mehsoos kijiye woh jazba jo is mulk ki pehchaan hai.
Abhi Mehdi Hasan ka yeh amar naghma “Ye Watan Tumhara Hai” sunnay kay liye neeche diye gaye link par click karein:









