28 Safar ka din Islami tareekh ka woh ghamnaak lamha hai jo Nabi-e-Akram ﷺ kay baray nawasay, Hazrat Imam Hasan (A.S.) ki shahadat ki yaad ko taza karta hai. Yeh din sirf ghum ka din nahi, balkay sabar, wafa aur haq par qaim rehnay ka dars bhi deta hai. Hazrat Imam Hasan (A.S.), jo kay Ameer-ul-Momineen Hazrat Ali (A.S.) aur Sayyida Fatima Zehra (A.S.) kay farzand thay, unki zindagi Islam kay liye qurbani, aman aur sulah ka paigham hai.
Hazrat Imam Hasan (A.S.) ki paidaish 15 Ramazan-ul-Mubarak 3 Hijri (625) mein Madina Munawwara mein hui. Aap Rasool Allah ﷺ kay nawase thay. Imam Hasan (A.S) apne walid Hazrat Ali (A.S) ki shahadat kay baad dusre Imam banay aur Aapko Musalmanon kay Panchwan (5th) khalifa bhi kaha jata hai. Magar aap ne jang-o-jadal kay bajaye aman aur sulah ko tarjeeh di. Aap ki siyasat aur leadership ka sabse bara nuktah yeh tha kay ummat ko nafrat, fasad aur qatl-o-gharat se bacha kar ikhtilafaat ko khatam kiya jaye.
Imam Hasan (A.S.), 28 Safar 50 Hijri (670) ko dunya sei parda farma gae. Bohat sei ibtidai zarae ka kehna tha kay Aap ki mout ki wajah Yazeed kay walid Mu’awiya kay saath sazish mein Imam Hasan (A.S.) ki biwiyon mein se eik biwi shamil thein aur Aap ki mout Zehar dene ka natijah thi. 28 Safar ka yeh din Islami duniya kay liye azeem gham aur dukh ka din hai, kyun kay Nabi ﷺ ka gharana eik martaba phir zulm ka nishana bana. Aap ki shahadat ne Muslim ummah ko yeh sabak diya kay haq ki raah mushkil zaroor hai lekin akhirat mein iska ajar sbse ziada hai.
Har saal 28 Safar ko musalman Imam Hasan (A.S.) ki shahadat ko yaad karte hain. Pakistan mein Karachi, Lahore, Hyderabad, Multan, aur Quetta ke imambargahon mein majalis hoti hain. Ahl-e- Bait se muhabbat krne wale Imam Hasan (A.S.) ki zindagi aur shahadat par roshni dalte hain. Nohay, marsiye aur salaam Imam Hasan (A.S.) ki yaad mein parhe jate hain.
Koyal App par Nohay, Marsiye aur Salam ki bharpoor collection moujood hai. Aap Pakistan kay mashhoor Noha khuwan jese Nadeem Sarwar, Farhan Ali Waris, aur Irfan Haider kay nohay ab asaani se Koyal par sun sakte hain. Abhi Koyal App download karein aur apni marzi kay Nohay aur Marsiye sunein apne pasandeeda Noha Khuwan ki aawaz mein.
28 Safar ka din humein Imam Hasan (A.S.) ki shahadat ki yaad dilata hai, woh shahadat jo Islam kay liye di gayi, woh qurbani jo ummat ki bhalayi kay liye di gayi. Is saal kay Youm-e-Shahadat par, jab aap Nohay aur Marsiye Koyal app par sunein, tou apne dil ko Imam Hasan (A.S.) kay paigham kay sath roshan karein, woh paigham jo sirf eik tareekh nahi, balkay zindagi ka dars hai.









