Aaj 25 December ko mulk bhar mein Quaid Day manaya ja raha hai, jo Pakistan kay baani Quaid-e-Azam Muhammad Ali Jinnah ki paidaish ka din hai. Is mauqay par sarkari aur ghair sarkari satah par taqreebat, seminars aur Quran khuwani ka silsila jari hai. Quaid Day sirf eik yaadgari din nahi balkay Pakistan ki bunyaadi soch, qanoon ki baladasti, aur azadi kay us safar ki yaad dahani hai jo Quaid-e-Azam ne bar-e-sagheer kay Musalmanon ko diya.
Muhammad Ali Jinnah 25 December 1876 ko Karachi mein paida howe. Un ka talluq eik tijarati gharanay se tha. Ibtidai taleem Karachi aur Bombay mein hasil ki, jis kay baad London ja kar law ki taleem mukammal ki. England mein qiyam kay douran unhon ne British parliamentary system aur qanooni nizaam ka gehra muta’la kiya, jo baad mein un ki siyasi soch aur qanooni riwayat ka bunyadi hissa bana. Kam omar mein hi Jinnah ne apni zindagi ka maqsad qanoon aur insaaf ko banaya. Wapsi par unhon ne Bombay High Court mein practice shuru ki aur jald hi apni salahiyat, imaandari aur daleeli quwwat kay sabab maqbool ho gaye. Quaid-e-Azam ka siyasi safar Indian National Congress se shuru howa jahan woh ibtida mein Hindu-Muslim ittihad kay hami thay. Magar waqt kay sath unhon ne mehsoos kiya kay Musalmanon kay siyasi, mazhabi aur saqaafati huqooq mehfooz nahi reh sakte. 1913 mein unhon ne All India Muslim League join ki aur dheere dheere Musalmanon ki wahid aur mo’tabar aawaz ban gaye.
1930 kay baad Quaid-e-Azam ne wazeh taur par yeh mauqaf ikhtiyar kiya kay Musalman eik alag qaum hain aur un ka siyasi mustaqbil eik alag riyasat mein hi mehfooz ho sakta hai. 1940 ki Lahore Resolution ne is soch ko qaumi maqam diya aur Pakistan kay qiyam ki bunyaad rakhi. 1947 ka saal bar-e-sagheer ki tareekh ka sab se mushkil aur khoon-aalood daur tha. Quaid-e-Azam ne baghair hathiyar, baghair lashkar, sirf daleel, qanoon aur siyasi hikmat-e-amli se eik nayi riyasat hasil ki. Partition kay douran laakhon Musalmanon ne hijrat ki, qurbaniyan di aur apni zindagiyan daon par laga dein. Quaid-e-Azam ne Pakistan ka pehla Governor General ban kar riyasat ki bunyaadain mustahkam kien. Un ka wazeh pegham tha: “Unity, Faith, Discipline.” Unhon ne barabari, mazhabi aazadi aur qanoon ki baladasti par zor diya. Quaid-e-Azam Pakistan ko eik esi falahi riyasat banana chahte thay jahan har shehri chahay us ka mazhab ya nasb kuch bhi ho, barabar kay huqooq ka haamil ho. Un ki speeches aur bayanat aaj bhi rehnumai ka zariya hain.
25 December, Quaid Day har saal humein yeh yaad dilata hai kay Pakistan sirf eik geographic entity nahi balkay eik soch, eik amanat aur eik zimmedari hai. Aaj kay din Quaid-e-Azam kay mazar par guard of honour paish kiya gaya, jab kay taleemi idaron mein un ki zindagi aur paigham par khaas programs munazzam kiye jate hain. Quaid-e-Azam ki khidmaat ko khiraj-e-tehseen pesh karne kay liye kai qoumi naghmay likhay aur gaaye gaye, magar “Aye Quaid Tera Ehsaan” eik esa naghma hai jo qaumi jazba aur tareekhi haqeeqat ko eik hi dhun mein samet leta hai. Ye Naghma Pakistani Shair aur screenwriter Fayyaz Hashmi ka tehreer krda hai jis ko kai singers aur poets ne parha hai. Is naghmay kay alfaaz Musalmanon ki us halat ko bayan karte hain jab har simt tabaahi ka khatra tha, mulk par ghairon ki hukmrani thi aur Musalman apni pehchan kho chukay thay.
Naghmay kay ash’ar Allama Iqbal kay us khuwab ki taraf ishara karte hain jo baad mein Quaid-e-Azam ne haqeeqat mein badal kar dikhaya. Dushmanon kay jaalon, tanqeed aur saazishon kay bawajood Quaid ne sachai, imaandari aur usooli siyasat se jang lari. Yehi wajah hai kay un ka paigham aaj bhi relevant hai. Punjab se Bengal, Sindh se Sarhad aur Balochistan tak Musalmanon ki qurbaniyon ka zikar is naghmay ka markazi hissa hai. Naghmay kay aakhri hisson mein Quaid-e-Azam ki wafat par qaum kay gham aur aansuon ka zikar hai. 25 December 2025 ko jab Quaid Day manaya ja raha hai, mulk mukhtalif siyasi, muashi aur samaji challenges se dochar hai. Aise mein Quaid-e-Azam ka paigham aur bhi zyada ehmiyat ikhtiyar kar jata hai. Unity, Faith aur discipline kay baghair na tou idaray mustahkam ho sakte hain aur na hi qaum aagay barh sakti hai.
Quaid-e-Azam Muhammad Ali Jinnah ka ehsaan sirf azadi tak mehdood nahi, balkay eik esi riyasat ka tasawwur dena bhi hai jo insaaf, barabari aur aman par mabni ho aur “Aye Quaid Tera Ehsaan” jaisa naghma is ehsaan ki yaad dahani hai. Quaid Day par qaum ka farz hai kay woh sirf taqreeron aur naghmon tak mehdood na rahe, balkay Quaid-e-Azam kay paigham ko apni zindagi aur idaron ka hissa banaein taakay Pakistan waqai us khuwab ki taabeer ban sake jo Allama Iqbal ne dekha tha aur Quaid-e-Azam ne pora kiya.
“Aye Quaid Tera Ehsaan” jesa Tareekhi Naghma sunnay kay liye diye gaye link par click karein https://koyal.pk/track/ay-quaid-e-azam-tera-ehsaan-124949









