Har saal 20 Safar-ul-Muzaffar ko poori dunya ke Musalman, khaas taur par Ahl-e-Bait se mohabbat rakhne wale, Chehlum Syed-ul-Shuhada Imam Hussain (A.S.) manate hain. Is din ko Arbaeen bhi kaha jata hai, jo Ashura (10 Muharram) kay chalis din baad aata hai. Ye wo din hai jab Karbala kay shaheedon ki qurbaniyon ko yaad karte howe, unki yaad ko zinda rakhne ka ehad kiya jata hai.
20 Safar, Chehlum Imam Hussain (A.S.) ka din, woh din hai jab puri dunya mein har dil Gham-e-Hussain (A.S.) se bhara hota hai. Ye sirf eik din nahi, balkay eik yaadgar lamha hai jo 1400 saal se zyada arsay se ummat ko sabar, istiqamat, sachai aur haq kay liye qurbani ka paigham deta aa raha hai. Chehlum ko Arbaeen bhi kaha jata hai, jo Ashura kay 40 din baad manaya jata hai. Karbala ka waqiya, jo 10 Muharram 61 Hijri ko waqay howa tha, Islam ki tareekh ka wo sang-e-meel hai jahan Haq aur Batil kay darmiyan hmesha kay liye farq bata gaya. 20 Safar ka din is liye bhi ehmiyat rakhta hai kay riwayat kay mutabiq, isi din Ahl-e-Bait (A.S.) ka qafla, jo Yazid kay zulm aur qaid guzar kar Najaf se Karbala pohancha tha aur unhon ne Imam Hussain (A.S.) aur unkay saathiyon ki qabar par fatiha parhi.
Aaj bhi, har saal lakhon log Karbala ka safar tay karte hain. Har saal Iraq kay shehar Karbala mein Arbaeen kay mauqay par dunya kay mukhtalif hisson se hazaroon nahi balkay lakhoon zaireen hazri dete hain. Zaireen paidal safar karte howe Karbala tak pohanchte hain, jahan wo Imam Hussain (A.S.) aur Hazrat Abbas (A.S.) kay rozay par hazri dete hain. Karbala kay shuhada mein Imam Hussain (A.S.), Hazrat Abbas (A.S.), Hazrat Ali Akbar (A.S.), Hazrat Qasim ibn Hasan (A.S.), aur 6 mahine kay masoom Ali Asghar (A.S.) bhi shamil hain. Har eik shaheed ne apni jaan o mal ko Islam kay liye waqf kar diya.
Arbaeen sirf gham aur aza ka din nahi, balkay eik paigham hai kay zulm kay samne khamosh rehna iman kay khilaf hai. Pakistan kay har sheher mein Chehlum par jaloos nikale jate hain, majalis ka ehtimaam kiya jata hai, Nohay aur Marsiye parhe jate hain. Karachi, Lahore, Islamabad, Hyderabad, Quetta har jagah momineen Imam Hussain (A.S.) ki yaad mein nikal kar apni mohabbat ka izhar karte hain.
Is saal, digital platforms par bhi Nohay kaafi zyada sunay ja rahe hain, khaaskar Koyal app par jo Pakistan ka pehla aur sabsei bara regional music platform hai. Koyal App par 12000+ Nohay aur 5000+ Manqabat moujood hein. Agar aap bhi Nohay ya Manqabat sunna chahte hein tou abhi Koyal App download karein aur diye gae link par click karein.
Nohay: https://koyal.pk/genre/audio/noha-11
Manqabat: https://koyal.pk/genre/audio/manqabat-17









