17 Rabi-ul-Awwal ka din Islami tareekh ka eik azeem din hai. Ye who din hai jab Ahl-e-Bait A.S. kay chatay (6th) Imam, Hazrat Imam Jafar Sadiq R.A. ki wiladat hui. Imam Jafar Sadiq R.A. ka naam aaj bhi ilm, hikmat, adal aur sachai ka roshan minaar hai. Aap ki zindagi ne sirf Islami dunia ko nahi, balkay insaniyat ko ilm kay naye raaston se roshan kiya.
Imam Jafar Sadiq R.A. 17 Rabi-ul-Awwal 83 Hijri (702 AD) ko Madina Munawwara mein paida howe. Aap ka laqab “Al-Sadiq” tha kyun kay aap hamesha sach bolte aur haq ka izhar karte. Aap Muhammad Al-Baqir Ibn Ali A.S. aur Umme Farwah A.S. kay farzand thay. Imam Jafar Sadiq R.A. ki wiladat aisi ghari mein hui jab Muslim ummah ko ilm, rehnumai aur rehmat ki sab se zyada zaroorat thi. Imam Jafar Sadiq R.A. ne fiqah, tafseer, hadees, chemistry, astronomy aur philosophy tak mein ilm ka paigham diya.
Imam Jafar Sadiq R.A. ne apni zindagi mein hamesha sabar, sachai aur insaf ka dars diya. Aap kay ikhlaaq ki misaal kahein nahi milti. Unkay paigham aaj bhi insaaniyat ko nafrat, fasad aur zulm kay andheron se nikal kar mohabbat, ilm aur insaf ki taraf bulaatay hain. Imam Jafar Sadiq R.A. ki zindagi Ahl-e-Bait A.S. kay unhi paighamat ka tasalsul hai jo Karbala mein Imam Hussain A.S. ne diya. Karbala ne haq o batil ka faisla kar diya aur Imam Jafar Sadiq R.A. ne us haq ko ilm aur hikmat kay zariye poore duniya mein phelaya. Aap ki zindagi ka asal maqsad ummat ko jahalat kay andheron se nikal kar ilm aur roshni ki taraf laana tha.
Adab aur Kalam ki duniya mein bhi Imam Jafar Sadiq R.A. ka zikar hamesha roshan rehta hai. Mashoor Noha Khuwan Aslam Iqbal ka Kalam “Keeti Haq Such Di Tasdeeq Jafar Sadiq Ne” issi ilm aur sachai ki tasdeeq hai jo Imam Jafar Sadiq R.A. ki zindagi ka asal markaz tha. Aslam Iqbal ka ye kalam aaj bhi sunne walon kay dilon ko roshan karta hai. Is mein Imam Jafar Sadiq R.A. ki shan aur unkay ilm ki azmat ka zikr hai. Har misray mein sachai aur haq ki tasdeeq hai jo humein yaad dilati hai kay Imam Jafar Sadiq R.A. sirf Ahl-e-Bait A.S. hi nahi, balkay poori insaniyat kay liye roshni ka zariya thay.
17 Rabi-ul-Awwal, Youm-e-Wiladat Imam Jafar Sadiq R.A. humein ilm ki roshni aur sachai ki taraf bulata hai. Imam Jafar Sadiq R.A. ki zindagi insaaniyat kay liye eik misaal hai jo hamesha sachai, adal aur hikmat ka paigham deti hai. Is khaas din par aap Aslam Iqbal ka mashhoor Kalam “Keeti Haq Such Di Tasdeeq Jafar Sadiq Ne” Koyal App par sun saktay hain. Koyal App sirf eik music platform nahi, balkay Pakistan ka pehla regional platform hai jahan na sirf songs, balkay Naats, Hamd, Manqabat, aur aise hi Kalam ki bari collection moujood hai.
Agar apne abhi tak Koyal App download nahi kiya tou abhi karein, aur Aslam Iqbal kay iss roohani kalam kay sath Imam Jafar Sadiq R.A. ki wiladat ka din manaiye.









