Aaj 17 Muharram-ul-Haram hai, aur yeh din humein Qur’an ki eik azeem Surah, Surah Al-Fil ki yaad dilata hai. Yeh woh Surah hai jo Allah ki qudrat, zulm kay khilaf madad, aur Baytullah ki hifazat ka paighaam hai.
Surah Al-Fil, jis ka mtlb hai “hathi”, Quran Paak ki 105th Surah hai. Surah Al-Fil ka waqiya Aamul-Feel (The Year of the Elephant) 17 Muharram 571 A.C. mein howa, wohi saal jab Hazrat Muhammad ﷺ paida howe. Abrahah, Yemen ka hukmaran, apni fauj aur haathi kay lashkar kay saath Khana-e-Kaaba ko (Nauzubillah) giraane aaya. Magar Allah ne uss lashkar par ababeel kay jhund bhejay, jo apne choncho mei mitti ki kankariyan lekar aaein aur poray lashkar ko mitti mein mila diya. Surah Al-Fil, sirf eik tareekhi waqiya nahi, balkay har dor ka paighaam hai. Har saal jab yeh din aata hai, toh Musalman is waqt ko ibrat aur yaqeen ki nayi roshni mein mehsoos kartay hain.
Aaj jab 17 Muharram ka din hai, tou Surah Al-Fil ka paighaam humein Karbala kay waqiye se jorna chaahiye. Jis tarah Allah ne Khana-e-Kaaba ko Abrahah kay zulm se mehfooz rakha, wohi Rab Nawasa-e-Rasool ko bhi mehfooz rakhne par qadir tha lekin Imam Hussain (A.S.) ne Deen-e-Muhammadi ki hifazat kay liye Karbala mein apni jaan ka nazrana diya. Kyun kay Allah Talla ne ye paighaam dilwana tha kay Musalman ko zulm kay aage jhukna nhi hai aur apne deen ki hifazat kay liye apne jaan o maal aur ehl o aayal ki har bari ya choti qurbani kay liye har waqt tayar rehna chahiye. Imam Hussain (A.S.) aur unkay saathi mazloom the, kamzor nahi, woh zulm kay samne jhukay nahi. Yeh wohi jazba tha jo ababeel mein tha, wohi taqat jo sabr mein thi. In waqiyat aur Surah sei ye paighaam akhuz hota hai kay hamei Deen-e-Islam ki hifazat ki khaatir choti sei choti koshish krni hai, jese eik chotay parinday ne apni taraf sei pori koshish ki tou Allah Ta’ala ne usse hathiyo kay lashkar par bhi ghalib kiya.
Is moqay par Koyal App ne Surah Al-Fil ki tilawat pesh ki hai jo Musalmanon ko Qur’an Paak kay peghaam se jor’ti hain. Aaj 17 Muharram ko hum Allah ki qudrat, zulm ki naakaami, aur haq ki kamyabi ko yaad karte hain. Aaj kay din Surah Al-Fil ki tilawat yaad rakhein kyun kay har dor ka Abrahah mitta hai, aur har bar haq sar buland howa hai.
Download Koyal App aur sunain woh awaazain jo aapko Qur’ani waqiyaat se jor kar roohani yaqeen aur sabr ka dars deti hain. Surah Al-Fil Mukhtalif Quraa ki awaazo mei sunne kay liye diye gae links par click karein.
Qari Waheed Zafar Qasmi: https://koyal.pk/track/surah-al-fil-109880
Sheikh Yasser Al Dosari: https://koyal.pk/track/surah-al-fil-9509
Surah ko Tarjuma kay saath sunnay kay liye diye gae links par click karein.
Meshari Bin Rashid: https://koyal.pk/track/surah-al-fil-with-tarjuma-110049
Qari Muhammad Bashir Chishti: https://koyal.pk/track/surah-al-fil-with-tarjuma-110465









