Blogs Koyal.pk
13 Safar Youm-e-Shahadat Bibi Sakina (RA)

13 Safar – Youm-e-Shahadat Bibi Sakina (AS)

Har saal 13 Safar-ul-Muzaffar ko Musalmanon ka dil gham se bhar jata hai, jab woh Bibi Sakina bint-e-Imam Hussain (AS) ki shahadat ko yaad karte hain. Yeh din sirf eik taareek yaad nahi, balkay Karbala kay baad kay us zulm bhare safar ki misaal hai jahan eik choti si masoom bachi, jiski umar sirf chaar saal thi, sabr aur mazloomiyat ki misaal ban gayi.

Bibi Sakina (AS), jinko Ruqayya aur Sukayna kay naam se jana jata tha, Imam Hussain (AS) aur Umme Rubab (AS) ki beti thein. Karbala kay maidan mein unka har lamha zulm, gham, aur intehai dard mein guzra. Apne walid ki shahadat kay baad bhi unka sabr unki shanakht bana. Karbala kay baad jab Ahle-Haram ko qaidi bana kar Kufa aur phir Shaam le jaya gaya, tou iss poore safar mein Bibi Sakina ne na sirf bhook aur pyaas jheli, balkay apne pyaron ki laashen, bay-hurmatian aur zulm bhi saha. 

Bibi Sakina (AS) har raat apne baba ko yaad karti aur issi gham mein soojati. Eik raat unhone khuwab mein apne baba ko dekha aur cheekh kay saath “kahan hein aap baba?” kehti hui neend se beedar hogaein. Lekin wohi andhera aur qaidkhanay mein wohi qaidion ko bandhi zanjeeron ki awazein unhein sunne ko milein. Woh phir siskiyoon kay saath roona shuru hogaein. Itna rooein kay awazein Yazeed kay mehal tak ja phonchein.  Yazeed ko jab ilm howa kay Bibi Sakina (AS) apne walid ko yaad krte howe roorhi hein tou hukum kiya kay is kay walid ka sar bhej do. Jab Hazrat Sakina (AS) ne apne wald ka sar haasil kiya to woh or ziyadah rone lagein. Itna rooein kay aab khamoshi chaa gai. Sab ka khayal tha kay Bibi Sakina (RA) dubara soogaein lekin ye aarzi neend nhi thi. Roz roz kay zulm ne aakhirkar unki jaan le li. 

Bibi Sakin (AS) ka sab se dardnaak lamha woh tha jab unhein apne walid ka sar dikhaya gaya. Sirf chaar saal ki umar mein unhon ne woh zulm dekha jo barson tak insaniyat ka sir jhukata raha. Yeh wo waqt tha jab Ahl-e-Bayt ka dukh poori insaniyat kay liye eik misaal ban gaya. Unki shahadat ka waqiya har saal 13 Safar ko poori ummat ko yaad dilata hai kay zulm kitna bhi gehra ho, haq aur masoomiat hamesha roshan rehti hai. Aaj bhi har saal 13 safar ko poori duniya mein Ahl-e-Bait kay chahne wale, khas tor par Pakistan, Hindustan, Iraq aur Iran mein buhat adab aur gham kay sath yaad karte hain. Pakistan kay har sheher mein 13 Safar ko khas majalis aur juloos ka intezam hota hai. Ahl-e-Bait sei muhabbat krne wale apne apne andaaz mein Bibi Sakina (AS) ko yaad karte hain, kahein masajid mein shab bedari hoti hai, to kahin aza khano mein naujawanoon ka hujoom hota hai jo nohay sun kar ashkbaar hotay hain.

Bibi Sakina (AS) ka dardnaak waqi’a na sirf Karbala ka eik pehlu nhi hai, balkay Islam ki tareekh ka woh bab hai jo sabr, azmat aur zulm kay khilaf sab se gehra ehtijaj hai. Koyal, Pakistan ka digital music aur spiritual audio platform, is din Bibi Sakina (AS) ko khiraaj-e-aqeedat pesh karta hai. Koyal par Marsiye, Nohay aur Manqabat moujood hain jahan users Bibi Sakina (AS) aur Karbala kay dard ko mehsoos kar saktay hain.

Abhi download karein Koyal App aur suniye woh awazein jo Bibi Sakina (AS) kay dard ko aap kay dil tak laati hain.

Zaeefa Kon Ho Tum – https://koyal.pk/track/zaeefa-kon-ho-tum-173716 

Eik Ghareeb beti Eik Ghareeb Baba – https://koyal.pk/track/bibi-sakina-30587 

Dil e Zainab Ka – https://koyal.pk/track/bibi-sakina-104231 

Bibi Sakina – https://koyal.pk/track/bibi-sakina-59266

Wania Siddiqui

I’m Wania Siddiqui, a passionate journalist with over a year of experience in the fast-paced world of News channels. I love uncovering important facts, sharing diverse perspectives, and bringing cognitive details to the public. I’m passionate about telling real-life ignored stances and provoking incidents that educate the society and bring richer details to audiences.

mainzeus slot mpo slot gacor jawaraliga slot gacor malam ini happy838 slot maxwin mainzeus slot777 slot qris