“Saray Nabiyon Ke Ohday Baray Hain, Lekin Aaqa Ka Mansab Juda Hai”
12 Rabi-ul-Awwal ka din Musalmanon ki zindagi ka sab se roshan aur sab se paak din hai. Yeh woh din hai jab Rehmat-ul-lil-Alameen ﷺ ka zahoor howa. Har saal is din ko Musalman sirf eik tareekh kay tor par nahi, balkay ishq-e-Rasool ﷺ kay izhar kay tor par manate hain.
Is bar Musalman duniya Aaqa ﷺ ka 1500 sala Jashn-e-Wiladat mana rahi hai. 1500 saal pehle eik aisi shakhsiyat is duniya mein tashreef lai jo sirf Arab ka nahi, balkay puri insaniyat ka rahnuma bani. Unki seerat, unki akhlaaqiyat, unka insaf aur unka reham sirf Musalmano kay liye nahi, balkay puri insaniyat kay liye hidayat hai.
Aaqa ﷺ 12 Rabi-ul-Awwal ko Makkah Mukarrama mein paida howe. Aap ﷺ ka silsila-e-nasab Hazrat Ibrahim A.S. tak jata hai. Walid ka naam Hazrat Abdullah R.A. tha jo aap ﷺ ki paidaish se pehle hi wafat kar gaye. Aap ﷺ ki walida ka naam Bibi Amina R.A. tha. Bibi Amina R.A. ki wafat kay baad Aap ﷺ ki parwarish Aap kay dada Abdul Muttalib ne ki.
Nabi ﷺ apni imandari aur sachai ki wajah se “Al-Ameen” aur “As-Sadiq” kay laqab se pehchane gaye. Aap ﷺ ki tijarat, logon kay saath sulook aur akhlaaq duniya kay liye misaal tha. Hazrat Khadija R.A. eik tajir khatoon thien, unhon ne aap ﷺ ki imandari se muttasir hokar aap se Nikkah kiya. 40 saal ki umar mein jab aap ﷺ ko Ghaar-e-Hira mein pehli wahee ka tajurba howa tou insani tareekh ka eik naya daur shuru howa. “Iqra” ka paigham insani zindagi mein ilm, roshni aur insaf ka nizam le aaya. Nabi ﷺ ne shirk, andhairon, zulm aur jahalat kay khilaf roshni ki jung shuru ki.
Makkah mein zulm aur sataaye jane kay baad Aaqa ﷺ ne Hijrat ki aur Madina ko markaz banaya. Wahan Musalmanon ne sirf ibadat ka nizam nahi, balkay insaf aur barabari ka aisa nizam qaim kiya jo aaj bhi duniya kay liye misaal hai. Aaj jab Musalman Nabi ﷺ ka 1500 Sala jashan-e-wiladat manate hain, to yeh sirf aik tareekh ka jashan nahi, balkay 15 sadiyon ka eik aisa safar hai jahan Nabi ﷺ ki taleemat ne har daur aur har zamane ko roshni di. Duniya bhar mein Nabi ﷺ ki shan mein Naat, Hamd aur Salam goonjte hain. Yeh Kalam Musalmanon kay dilon mein unka ishq taza karte hain.
Fasihuddin Soharwardy ki naat “Saray Nabiyo kay ohday Baray hein” eik aisa kalam hai jo Nabi ﷺ ki fazilat aur unkay maqam ko behtareen taur par bayan karta hai. Is naat mein yeh wazeh hai kay Nabi ﷺ sirf eik Nabi nahi, balkay Imam-ul-Ambiya hain. Allah ne unhein woh shaan di jo kisi aur ko naseeb nahi hui. Har Nabi apne apne daur ka rahnuma tha, lekin Nabi ﷺ qiyamat tak kay rehnuma hain.
“Saray Nabiyon ke ohday baray hain, lekin Aaqa ka mansab juda hai”
“Woh Imam-e-saf-e-Anbiya hain, unka rutba baron se bara hai”
Kalam ka sbse khubsurat aur pehla band is baat ki gawahi deta hai kay Beshaq tamam Nabiyo kay ohday baray hein lekin Mere Aaqa Nabi-e-Akram ﷺ ka maqam sab se alug hai. Aap Khatamul-Anbiya hein. Sare ambiya Karam Nabi ﷺ ki saf mein hain, lekin Aapka maqam sab se ooncha hai. Kalam ka dusra band bhi issi baat ki gawahi deta hai kay aapki shaan alfaazon mein bayan nhi ki jaskti.
“Koi lafzon mein kaise bata de, unke rutbe ki had hai to kya hai”
“Hum ne apne baron se suna hai, sirf Allah unse bara hai”
Yeh naat humein yeh sabak deti hai kay Nabi ﷺ ka maqam samajhna aur unkay paigham par amal karna hi Musalman ki asal pehchan hai. Hazrat Muhammad ﷺ noor-e-hidayat hein. 1500 saal guzar jane kay baad bhi Nabi ﷺ ki taleemat aaj bhi zinda hain aur qiyamat tak raheingi. Yeh roshni Musalmanon kay dilon ka sukoon, zindagi ka rahnuma aur insaniyat kay liye rah-e-hidayat hai.
Ye naat na sirf Nabi-e-Kareem ﷺ ki shaan bayan karti hai, balkay mohabbat-e-Rasool ﷺ ko dilon mein aur mazboot banati hai. Har she’r mein ishq, aqeedat aur shan-e-Mustafa ﷺ ka izhar hai. Yehi wajah hai kay aise ash’ar parhne se dil mein roohani sukoon paida hota hai aur banda apni bandagi ki asal rooh ko samajhta hai. 12 Rabi-ul-Awwal kay moqay par Koyal par aise la-jawab kalam ki bohot bari collection mojood hai jo Rabi-ul-Awwal kay is mubarak mahine mein dilon ko roshan karti hai.
Khubsurat Kalam “Saray Nabiyo kay ohday Baray hein” sunne kay liye diye gae link par click karein
https://koyal.pk/track/sare-nabion-ke-6911
10000+ Naats ki collection kay liye diye gae link par click karein









